(Kaun ho tum?) ... Kahi naam hai mere ... gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai ... besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman
Kisi ka fayda, kisi ka nuksaan ... kisi ka nuksaan, kisi ka fayda ... issi ka naam duniya hai
Bahut dhundne ka baad malum hua ki jeevan mein mithaas sirf do hi jagah hai ... ek mithaai waale ke yahan, doosri tumhari awaaz
Sangeet cheez hi aaisi hai ... saaz ho ya awaaz, kaano mein padte hi dil ke taar jhun-jhuna uthte hai ... aur chanchal mann ko shanti mil jaati hai
Agar is samaaj aur society se paap aur gunaah ko hamesha ke liye khatam karna hai ... toh un shaitano ko khatam karna hoga joh chand sikkon ki khatir gareebon ki sharafat aur insaaniyat khareedkar unke dilon mein gunaah ka bheej bohte hai ... paap ke saaye mein unki parvarish karte hai ... logon ka khoon pilakar unhe badne par majboor karte hai
Akal se sirf nakshe ban sakte hai ... imaaratein nahi
Ishwar hazar gunah karne ke baad maaf kar deta hai ... lekin ek baar maa ka dil dukhao toh woh kabhi maaf nahi karta
Hum the jinke sahare, woh hue na hamare ... doobi jab dil ki naiyya, samne the kinare
Milna bichadna jeevan ki reet hai ... do pehlu hai ... ek gham ka doosra khushi ka
Raja ki puja sirf uske desh mein hoti hai ... aur vidhvan ki puja puri duniya mein hoti hai
Insaan ki do maayen hoti hai ... ek maa joh insaan ko janam deti hai aur doosri us desh ki dharti jahan pe woh janam leta hai
Is duniya mein do taang waala janwar sabse khatarnak janwar hai
Retire toh aadmi ko us din hona chahiye ... jab upar waale ka bulava aa jaye
Tum shamshaan mein bujhi chitta ki rakh mein zindagi dhoond rahi ho
Kisi kisi dukh ke peeche ek bada sukh chupa hota hai
Jise dost ka haath thaam le aur maa ka aashirwad mil jaye ... woh zindagi ki har manzil tay kar sakta hai
Yeh toh main hi jaanta hoon ki zindagi ke aakhri mod par kitna andhera hai
Zameen toh kisi ke baap ki nahi hai ... zameen toh bhagwan ki hai, mehnat kisaan ki aur anaaj saare desh ka hai
Bada aadmi toh woh hota hai joh doosron ko chota nahi samajhta
Jis din ek mazdoor kaam pe nahi jaata ... uske ghar par chula nahi balki uska pet jalta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory