Agar tumhare jaise dost is duniya mein hue ... toh kya zaroorat hai dushmano ki
Mere ghar taash ka ghar hai ... jitni baar bhi banane ki koshish karta hoon ... utni baar toot jaata hai
Main marne se pehle marna nahin chahta
Tumhare is gale ka dard kisi ke bhi mann ka dard mitta sakta hai
Main is jhoot ko itne bade sach mein badal doonga ... ki woh sach ke sivah aur kuch nahi rahega
Nadiya se dariya, dariya se sagar, sagar se gehra hai jaam ... jaam mein doob gayi hai yaaron, mere jeevan ki har shyam
Main woh bala hoon joh jooton se tum jaise kutton ke sarr phodta hoon
Cancer ke keedon ke samne ... na meri zindagi ki koi keemat hai ... na tumhare aasuon ki
Kanoon ki koi bhi kitaab zindagi ki kitaab se badhkar nahi ho sakti
Baarish ki boondon se darne waale toofan ka muqabla nahi kar sakte
Aadmi jitna sharif hota hai ... utna hi shaitan bhi ban sakta hai
Zindagi ka koi bhi raasta ekdum seedha toh nahi hota hai ... kahin na kahin modh toh zaroor aata hai
Mujhe mithaai khane ka nahi ... sirf dekhne ka shaunk hai
Prem mein mazaa hi tab aata hai jab ladki gusse waali ho
Khushi ke gaane toh bilkul phuljadiyon ki tarah hai ... jalte hai aur bhuj jaate hai ... lekin udasi agarbatti ki tarah jalti hai der tak ... aur bhujne ke baad bhi mehakti rehti hai
Pyar toh na bikne ki cheez hai, na khareedne ki cheez hai ... pyar toh sirf karne ki cheez hai
Ek chota sa zakhm bahut gehra daag ban sakta hai ... aur ek choti si mulaqat jeevan bhar ka saath ban sakti hai
Khuda gharat kare motor banane waale ko ... sach kaha zalim ghar se beghar kar diya is saale motor chalane waale ko
Aaj main sari duniya ke samne sar uthake keh sakta hoon ... najane kitne janam lene ke baad, najane kitni tapasya ke baad ... tum jaisi maa, tum jaisi devi ka beta ban saka
Yakeen nahi aata toh poocho in barfilay pahadon se, in nadi ki leharon se, in baharon se ... hum dono ke dilon ki awaaz ek hai, joh saath saath milkar in vaadiyon mein goonj uthegi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory