Aap kanoon haath mein le nahi sakte ... aur apun ka haath duniya ka koi kanoon rok nahi sakta
Arman Kohli
Tu police waala nahin bhadwaa hai ... joh kanoon ko rundi banakar gundon ke haathon mein bechta hai
Sanjay Dutt
Rukjao ... kanoon ko apne haath mein mat lo
Unknown
Kanoon ko haath mein lene ka haq ... sirf kanoon ke haathon ko hota hai
Manoj Bajpai
Har ek aadmi ke saath kahi log hote hai phansi ke takhte par, koi akela nahi hota phansi ke takhte par ... uske saath us phande par dum todhta hai uski biwi ka suhaag ... uske bachon ka bhavishya ... uske ghar mein basne waali ek ek khushi ... uske aagan mein utarne waali ek ek kiran ... sabko ek saath phansi ho jaati hai
Anil Kapoor
Yeh andha kanoon likhega kab tak meri kahani ... ek haath mein yeh kaala coat, doosre mein jawani
Sharman Joshi
Kanoon ke raaste mein agar koi aaye toh kanoon nahi tootna chahiye ... chahe rishtey toot jaye
Meri pistol mein ek adalat bethti hai ... kartoos ko sirf gunahgar ke taraf jaane ki ijaazat hai
Mithun Chakraborty
Mere us aakhri gunah ke baad tumhe sabooton aur gawahon ke jhamele mein nahi padna padega ... kyun ki us din gunahgar Deva khud banega aur gawah bhi Deva hi banega ... jurm bhi mera hoga aur sazaa bhi main tay karoonga ... apne gale mein sooli bhi daloonga aur jallad bhi main hi khud banooga
Jab tak main tum logon ko adalat mein phaasi ki sazaa na dilwa doon ... maut bhi mera kuch nahi bighaad payegi
Bobby Deol
Inspector saab kanoon aur farz ke rakhwaale baad mein banna ... pehle dil ke rakhwaale bano
Saif Ali Khan
Maine uske shaq ko shamshaan mein badal diya ... kyun ki Kaali ki adalat mein shaq ki daleel nahi ... maut ki sazaa sunai jaati hai
Kanoon sirf kanoon hai ... ya toh toda jayega, ya paala jayega ... lekin har surat mein maana jayega
Amitabh Bachchan
Mehfil mein jalate hai diya doosre log ... lete hai ujalon ka maza doosre log ... mujrim kabhi pakde nahi jaate ... lekin paate hai adalat se saza doosre log
Bapu apne style mein kanoon todta tha ... aur main apne style mein
Arbaaz Khan
Tum kya samajhte ho kanoon koi khilona hai, mujrimon ke samne bauna hai? ... arre ab toh wohi hoga joh hona hai
Deven Verma
Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par ... joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai ... joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
Sohrab Modi
Yeh adalat hai na, yeh rishton aur jazbaton se nahi chalti ... adalat chalti hai sabooton se, adalat chalti hai gawahon se
Harish Patel
Kanoon saboot ka mohtaj hai ... lekin jis din mere haath saboot laga ... tum logon ko pagal kutton ki tarah ghaseeta hua le jaonga
Akshay Kumar
Mukadma sabooto aur gawaho se lada jaata hai ... bhashan-baazio, nautanki aur tamasho se nahi
Anupam Kher
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory