Mujrim maa ke pet se janam nahin leta ... usse janam deta hai tumhara kanoon, tumhari police
Sunil Shetty
Yahan main hi vaakil hoon, main hi judge hoon aur main hi jallad
Govind Namdeo
Is shehar mein achcha vakil kanoon jaanta hai ... aur bahut achcha vakil judge ko jaanta hai
Prakash Raj
Desh mein do kanoon nahi ho sakte hai ... ek gareebo ke liye, doosra ameero ke liye
Amitabh Bachchan
Log jab kamyabi ke ghode par savaar sone ki bani hui sadak par daudte hai ... toh woh yeh bhool jaate hai ki yeh sadak jail ki kaal kothri mein khatam hoti hai ya phansi ke takhte par
Pran
Is baar maine tumhare khilaaf itne gawah ikhatte kar liye hai ... ki agar yamdoot bhi chahe toh bhi tumhara arrest warrant cancel nahi karva sakta
Mukesh Rishi
Kanoon ki koi bhi kitaab zindagi ki kitaab se badhkar nahi ho sakti
Rajesh Khanna
Jurm ki duniya ke chote bhai ... hum kanoon ki duniya ke bade bhai hain
Jeetendra
Tujh jaise desh drohiyon ko kanoon ke pairon par jhukane ke liye ... na vardi ki zaroorat hai aur na hi is pistol ki ... mere desh ke naujawanon ke sirf do haath hi kaafi hai
Suresh Oberoi
Kanoon ka sipahi, kanoon ki raksha ke liye jab kanoon ke dariye se bahar nikalta hai ... toh woh sar pe kafan bandkar nikalta hai
Shammi Kapoor
Kanoon itna maila hai ... ki usse apne haath mein lekar main apna haath ganda karna chahta bhi nahi
Rajinikanth
Haath toh lagake dekhaoo tum mujhe ... mere saare lawyers tumko haath lagayenge sab jagah
Akshay Kumar
Main sahi hoon ya galat iska faisla aap nahi desh ki janta karegi ... kyun ki sabse upar main ek hi adalat ko maanta hoon ... aur woh hai janta ki adalat
Nawazuddin Siddiqui
(Kaun ho tum?) ... Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar ... masoomon ko zindagi dekar ... zaalimon ko maut ki neend sulaane waala ... inspector Ranjit Kumar
Hum kanoon hai ... saala apni aukaat pe aa jaye toh kahin bhi ghus sakta hai aur kisi ko bhi todh sakta hai
Irrfan Khan
Aaj ya toh insaaf hoga ... ya mamla saaf hoga
Jeevan
Main shehar ki dahshat ko mitane ke liye kanoon ke ek aaise muhafiz ko tainaat karoonga ... joh kanoon ki aan ke liye apni jaan bhi de sakta hai ... joh vardi ki shaan ke liye dono jahan se ladh sakta hai
Satyendra Kapoor
Bazaar mein behti tawaif aur aapke kanoon ke rakhwaalon mein koi fark nahi hai ... fark hai toh sirf itna, ki woh apna jism bechti hai aur yeh apna imaan
Govinda
Case mein dum hai ... lekin witnesses kam hai
Sanjay Dutt
Hum jaisa police waala sar par topi nahin, kafan baandta hai ... taki tum jaise hathyaaron ko ... kanoon ki zanjeeron mein jakarkar ... maut ke andhe kuye mein dhakel sake
Mithun Chakraborty
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory