Big company having money for doing R&D ... research and development ... I poor, I doing T&F ... try and fail
Akshay Kumar
Ban gaya main bhi mazdoor aaj se ... aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
Amjad Khan
Yeh thappad tune mujhe nahi apni naukri ke mooh par maara hai ... apne khandan ke ek ek aadmi ki khushiyon par maara hai ... apni zindagi par maara hai
Anupam Kher
Maine tumhari tarah dikhave ke liye sharafat ka chola nahi audh rakha hai ... balki farz ki vardi pehani hui hai aur is vardi ka daaman saaf rakhne ke liye main apna khoon tak baha sakta hoon
Shatrughan Sinha
Mere farz mein itna faulaad hai ... ki us mein pistol bhi ban jayegi aur hathkadi bhi
Prem Chopra
Saala kaam ke baat pe bhi sota hai ... is liye tumhara kismat nahi jaagta hai
Unknown
Kaam tab khatam hota hai jab woh theek hota hai ... lagta nahi hai
Hamari industry bhi poori chaka-chaund se bhari hui hai ... yeh lights dekh rahe ho na, inke peeche bahut andhera hai ... aur is andhere se roshni ke safar mein sirf chaar kadam ka faasla hai ... par in chaar kadamo ko laangne mein kahi baar logon ko saalo lag jaate hai
Sonu Sood
Tera bhi jawaab nahi uparwaale ... chokri na mili, naukri mil gayi ... stree na mili, istree mil gayi
Kader Khan
Jis tarah main apne pyar ko ruswa nahi kar sakta ... us hi tarah apne farz ko bhi sharminda nahi kar sakta
Rajesh Khanna
Apni life ka goal fixed ... naukri aur chokri ... front portion for chokri, back portion reserved for naukri
Duty aur biwi mein khaas farak nahi hota ... dono ki maang mein laali bharni padti hai
Dharmendra
Zindagi mein agar apne bal par aage badna ho toh ... sabse pehle doosron ki naukri karna seekhna chahiye ... isse insaan hunar bhi seekhta hai aur tameez bhi
Majnu aur Romeo ko agar naukri doondni padti na ... toh pata chalta ki pyar karna bada aasaan hai ... naukri doondna bahut mushkil
Akshaye Khanna
Gareebon ko naukri se nikaal nikaal ke amir log thak jayenge ... magar uparwala naukri dete dete kabhi nahi thakega
Kamal Hassan
Ek aadmi ka kaam ... pachaas aadmi milke, table pe bahetke kharab karte hai na ... usko corporate bolte hai
Yeh post bahut hi badi hai ... kyun ki yeh management aur staff ke beech ki kadi hai
Govinda
Corporate companies ka toh bas ek hi aim hai ... nichhod dalo sabko ... pachees saal ki umar se khoon choosna shuru karti hai yeh companies ... bas market aur target ... shubah utho toh market, sone jaao toh target ... screen taakte taakte umar guzar rahi hai ... zindagi ke khoobsurat lamhe guzre jaa rahe hai ... na koi rishta, na koi apna ... dost hai toh bas tension
Mahie Gill
Kisi ka pati doctor hota hai, kisi ka pati contractor hota hai ... mera pati toh calculator hai
Duty ek aaisi cheez hai joh kabhi kabhi rote huye bhi nibhani padti hai
Shreeram Lagoo
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory