Badi tedhi hai yeh duniya ... yahan haqdaar ko bhi apna haq bheek ki tarah maangna padta hai ... anpad naukri maangne jaye toh usse degree lane ke liye kehte hai ... degree lekar jaye toh waseela lane ke liye kehte hai ... aur waseelay ke liye kisi ke paas jaye toh rishvat maangte hai
Jeetendra
Joh bhi kaam mile usse kar lena chahiye ... kaam koi chota nahi hota ... chota hota hai aadmi, uska dil, uski kartoot
Bharat Bhushan
Tum ladkiyon ka yeh bada problem hai ... ghar, career, pati, bachche, kitchen sab kuch sambhal sakti ho ... bas heartbreak ko manage nahi kar pati
Akshaye Khanna
Naukri mile toh degree, degree ... nahi toh bigdree, bigdree
Unknown
Jis din ek mazdoor kaam pe nahi jaata ... uske ghar par chula nahi balki uska pet jalta hai
Rajesh Khanna
Joh haath rishwat lete lete aur apne farz ke saath gadaari karte karte ghis jaate hain ... un mein belt istamaal karne ki kya uthane tak ki taqat nahin hoti
Suresh Oberoi
Apna eklauta aisa desh hai jahan sarkari aadmi kaam na karne ke liye tankha leta hai ... aur kaam karne ke liye rishwat
Abhishek Bachchan
Maa, behen, biwi, devi ... ek aurat ka astitva sirf inhi naamo se kyun hota hai ... doctor, judge, lawyer, chief minister, prime minister kyun nahi ... ek aurat agar ghar ki rasoi chala sakti hai ... toh desh bhi chala sakti hai
Engineers make the best husbands ... how ... we don't give up that easily ... engineering ho ya relationships, ek baar decide kar liye toh poora karte hai ... we're great problem solvers ... engineer ko ek baar answer bata do ... wahan tak pahunchna kaise hai, woh figure out kar lega ... we're experts in time management ... ek raat mein exam ke liye prepare karna ho ya ek date mein girlfriend ko impress karna ho ... no one can do that better than an engineer
Apni position se retire hona bahut aasaan hai ... magar apni soch se bahut mushkil
Jackie Shroff
Berozgar pati ko kaam ke liye utsana chahiye ... kamasutra ke liye nahi
Arshad Warsi
Mera farz is vardi ka mohtaj nahi hai ... yeh vardi toh mehaz ek mayaan hai jis mein main apne farz ki talwar mehfooz rakhta hoon
Govinda
Chota kaam kare toh mochi aur bada kare toh Bata ... chota kaam kare toh julaha aur bada kare toh khambata
Kishore Kumar
Agar tum mere aur meri duty ke beech aaye ... toh main tumhare aur tumhari saanson ke beech aa jaonga
Mammootty
Engineering aapko kisi job ke liye train kare ya na kare ... lekin life ki tangi mein aiyaashi karna zaroor sikha deti hai
Big company having money for doing R&D ... research and development ... I poor, I doing T&F ... try and fail
Akshay Kumar
Hamari industry bhi poori chaka-chaund se bhari hui hai ... yeh lights dekh rahe ho na, inke peeche bahut andhera hai ... aur is andhere se roshni ke safar mein sirf chaar kadam ka faasla hai ... par in chaar kadamo ko laangne mein kahi baar logon ko saalo lag jaate hai
Sonu Sood
Apni life ka goal fixed ... naukri aur chokri ... front portion for chokri, back portion reserved for naukri
Maine tumhari tarah dikhave ke liye sharafat ka chola nahi audh rakha hai ... balki farz ki vardi pehani hui hai aur is vardi ka daaman saaf rakhne ke liye main apna khoon tak baha sakta hoon
Shatrughan Sinha
Gareebon ko naukri se nikaal nikaal ke amir log thak jayenge ... magar uparwala naukri dete dete kabhi nahi thakega
Kamal Hassan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory