Aurat ke pyar ko kabhi seene mein itni jagah mat do ... ke dil ke liye dhadakna mushkil ho jaye
Fardeen Khan
Shaadi ke mandap mein pallu se ghaant baandhane waala pati nahi hota ... balki patni ki zindagi ki guthiyan suljhane waala pati hota hai ... pavitra agni ke gird phere lene waala pati nahi hota ... balki patni ke jeevan ko har aag se bachane waala pati hota hai
Subbiraj
Ek aurat apne pati ki gareebi mein khush reh sakti hai ... uske aeb seh sakti hai ... lekin uski kayarta nahi seh sakti
Unknown
Aadmi har darr se bhaag sakta hai ... lekin apne aap se nahi
Rajesh Khanna
Joh hum mein sabse zyada pyar kare ... wohi hum mein thukra de ... isse bada dard aur kya ho sakta hai
Ghodi aur jawan ladki ki lagaam zara kaske rakhni chahiye
Ranjeet
Meri premika kisi ki patni bhale hi ban jaye ... kisi ki patni meri premika kabhi nahi ban sakti
Anil Kapoor
Sawaal yeh nahi hai ki tum ughloge ya nahi ... sawaal yeh hai ki hum ughalwana jaante hai
Amitabh Bachchan
Yeh khoon gaur se dekh ... yeh khoon nahi tezaab hai tezaab ... zameen pe gira iska ek ek katra, ek jwalamukhi ko janam deta hai
Ajay Devgan
Joh dil se baat karte hai ... unhe dimaag se jawab nahi diya jaata
Amole Gupte
Maa baap apni aulad ke maathe par chamakta chand dekhne ki tammana karte hai ... aur aulad maa baap ke maathe par badnaami ka daag laga diya karti hai
Mohan Joshi
Jitni nafrat hamare liye tumhare dil mein hai ... usse zyada pyar tumhare liye hamare seene mein hai
Kamaal Rashid Khan
Agar aadmi ko galati karne ka adhikar hai ... toh galati karke pachtane ka haq bhi hai
Om Prakash
Saas kisi ki bhi ho ... sab ek jaisi hoti hai
Leena Chandavarkar
Plan yeh hai ki koi plan nahi hai
John Abraham
Bhagwan jiske chehre pe aankhen nahi deta ... uske dil mein aankhen de deta hai
Kader Khan
Main chota aadmi hoon ... mere pair zameen pe hai, mera sar mere kandhon par hai ... aur mere dimaag ke andhar meri aukaat tolne ka tarazu laga hua hai
Pyar karne waale kisi ke mana karne par kab ruke hai ... yeh dil toh pagal deewana hai, yeh toh pyar karega ... yeh na kabhi dara hai duniya se, na kabhi darega
Bobby Deol
Apne zulm ki takat par itna naaj na karna ... kyun ki tumhari napak hasti ko nestonabud karne waala paida ho chuka hai
Saeed Jaffrey
Mamta ki koi zaban nahi hoti ... naa hi pyar ki koi tasveer hoti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory