Is desh mein bhalai karna sabse badi galati hai
Paresh Rawal
Agar main chor hoon toh mujhse chori karane waale tum ho ... aur agar main mujrim hoon toh mujhse jurm karane waale bhi tum ho
Dilip Kumar
Aap sooch kuch aur rahen hain ... pooch kuch aur rahen hain
Amitabh Bachchan
It's not my hobby ... it's my passion
Nana Patekar
Public se kya darna sahab ... main khud public hoon
Abhishek Bachchan
Bahar ke andhere se nahi ... andar ke andhere se daro
Vikrant Massey
Bura banke breakup toh koi bhi kar sakta hai ... khoobsurat breakup woh hota hai jis mein saamne wale ko, uske ghar walo ko, rishtedaro ko, sabko lage ki ladki toh bahut pyari hai ... hamare ladke mein hi khot hai
Shraddha Kapoor
Tum khud par yakeen nahi karoge na ... toh duniya mein koi bhi tum par yakeen nahi karega
Unknown
Dharam ke liye jeeya hoon ... dharam ke liye maroonga
Akshay Kumar
Yeh tumhari lakshmanrekha hai ... Sita ne paar ki toh Ramayan chiddi thi ... tum karoge toh Mahabharat
John Abraham
Ramji ke liye aasaan tha Ravan ko maarna ... uska dus maatha tha par dikhta tha ... yahan system ke Ravan ka naa jaane kitna maatha hai, kitna munh hai, kitna aankh hai ... aur jab bhi koi munh kholta hai toh gareeb ki bali maangta hai ... uska adhikaar cheenta hai ... kaise lade is system se
Pankaj Tripathi
Aaj ek doosre ke saath bura kar loon ... yeh sochke ki isse hamara kal acha hoga ... isse badi bewakoofi is duniya mein nahi ho sakti
Arjun Kapoor
Jab naam ke alava kuch bacha na ho ... toh naam ko bacha bachake chalna chahiye
Chitrangada Singh
Aadmi toh karke bhool jaata hai par uska kiya kahin nahin jaata ... ghoomkar ek din uske samne zaroor aata hai
Nawazuddin Siddiqui
Insaan ko kabhi bhi poori tarah se samjha nahi ja sakta ... kyun ki badalte rehna hi insaan ki fitrat hai ... change is the only constant
Watch you back ... issi pe shahbaazi milti hai aur khanjar bhi
I'm ready to die in love, I'm ready to kill in love ... but I'm not ready to be a fool in love
Aftab Shivdasani
Insaan badal jaate hai ... insaano ke naam nahi badalte
Rajesh Khanna
Jis tarah dhanush se nikla hua baan vapas nahi aa sakta ... jis tarah chitta jalne ke baad manushya jeevit nahi ho sakta ... ussi tarah se mera diya hua shraap bhi vapas nahi laut sakta
Amrish Puri
Khamoshi mein joh baat kahi jaati hai ... usse samajhne ke liye ek dard bhara dil chahiye
Aamir Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory