Hum tumhe woh maut maarenge ki ek baar maut bhi kaanp uthegi
Unknown
Agar taqdeer mein maut likhi hai toh koi bacha nahi sakta ... agar zindagi likhi hai toh koi mai ka laal maar nahi sakta
Dharmendra
Zindagi sirf do paon se bhaagti hai ... aur maut hazaaron haathon se uska rasta rokti hai
Ajit Khan
Agar duniya mein maut se badi sachai koi nahi ... toh sach maniye aapko dhoka dekar meri zindagi bhi maut se kam nahi
Asha Parekh
Maut sirf shareer ki hoti hai ... sooch ki nahi
Suriya
Aulad ki judai ka dard ... maut ke dard se bhi zyada hota hai
Govinda
Maine uske shaq ko shamshaan mein badal diya ... kyun ki Kaali ki adalat mein shaq ki daleel nahi ... maut ki sazaa sunai jaati hai
Mithun Chakraborty
Marr jayenge, mitt jayenge par bhai ka sar na katenge ... desh hai humko pyara apna, hum desh mein maut na batenge
Mera naam hai Lambu Aata ... saale ko doonga maut ka chaata
Ishrat Ali
Mere dushman ne yeh socha hi nahi tha shayad ... yeh diya baad-e-fanaa se bhi bhadak sakta hai ... usko quwwat pe takabbur hai mujh ko yakeen ... dast-e-haq baazu-e-qatil ko jhatak sakta hai ... mere jallad ko yeh maloom hi nahi hai shayad ... yeh dil dast-e-ajal mein bhi dhadak sakta hai
Watan pe marne waale marte nahi ... amar ho jaate hai
Main un sabko aaisi bhayanak maut doonga ... ki agla janam lene se pehle un sabki rooh kaanp uthegi
Arman Kohli
Main khud police waala nahi hoon lekin kanoon ka ek aaisa sipahi hoon ... joh khud police ki vardi nahi pehanta ... balki maut ki vardi pehnata hai gunehgaron ko
Sunil Shetty
Hum hai maut ki woh express ... duniya jise kehti hai Madam X
Rekha
Mauka deta hai parmeshwar ... maut deta hai Rajeshwar
Gulshan Grover
Maut ka ek waqt hota hai ... na woh pal bar pehle aa sakti hai, na pal bar baad
Pran
Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par ... joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai ... joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
Sohrab Modi
Abhi mera haath tere sar pe hai ... agar yeh haath utarkar gardan pe aa gaya na, toh tera maut ban jayega ... agar yeh haath gardan se aur neeche aa gaya na, toh na zindagi rahegi na maut
Nassar
Aadmi ki maut aur aurat ki saut ... ek baar gale padh jaye toh peecha nahi chhodti
Manoj Pahwa
Cocaine ... yeh safed aur masoom dikhne waala powder, sirf naujawaan logon ko hi maut ke mooh tak nahi pahunchata ... balki is mein itna dum hai ... ki yeh kisi desh ki sarkar ko gira bhi sakta hai aur sarkar bana bhi sakta hai
Anup Soni
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory