Aulad na ho dukh hota hai ... aulad ho aur marr jaye bahut dukh hota hai ... lekin aulad ho aur nalayak, toh bardaash nahi hota
Is mein sirf itni zindagi baki chhodna ... ki yeh apni maut apni aankhon se dekh sake
Kutton aur bikhariyon ka andhar aana mana hai
Hum unlogo mein se nahin hai, joh saanp ka sar kuchalkar usse maar dalte hai ... hum unlogo mein se hai, joh saanp ka sar pakad lete hai aur uske baad uske zehrile daanton ko nikaalkar ... usse nachate hai aur paisa kamate hai
Bachche tumne sirf shehar ke college mein padai ki degree li hai ... maine yeh duniya ke college mein tajurbe ki padai haasil ki hai
Ek bakri hokar tune sher ki jabde mein haath daala hai
Kal mila waqt toh zulfein teri suljha doonga ... aaj uljha hoon halaat ke suljhane mein
Kabhi kabhi dushman ki zindagi ... uski maut se zyada faydemand hoti hai
Lagta hai sode ki bottal ke tarah josh khatam ho gaya hai
Yeh Dilli ki parliament nahin hai, hamari parliament hai ... yahan wahi aadmi bolega, jise hum sawaal poochenge
Mere raaste mein aane ki koshish mat karna, kadam kadam pe barood biccha hua hai ... chithre udh jayenge tumhare ... koi pehchaan nahi payega ke tumhare tudke hai ya ret ke zarre
Meri jaan tujhe mere haathon marna hai ... usko yaad karle jisse yaad karna hai
Ek toh waise teri shakal kharab hai, upar se royega aur manhus lagega
Ban gaya main bhi mazdoor aaj se ... aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
Kiya aaj maine akalmandi ka kaam ... ticket lottery ka liya aur paya inaam ... sunke tum log hoge khushi se naach ... inaam mein mile mujhe rupai paanch
Bina shaadi karvaye aap marne chale ... bandook haath mein li nahi jung ladne chale
Thu thu thu ... sharafat ki vardiyon mein kaise kaise baimaanon ne shareer apne chupa rakhe hai
Nahi dalenge hum haath izzat pe tumhari ... pehnayenge mangalsutra yahi khwaish hai hamari
Jabse dekha hai maine is daas ko ... na Shakespeare ko padha hai na Kalidas ko
Bhoolkar bhi paise nahi deta mera baap ... kaise khareedon kaise padhon koi kitaab
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory