Adaalat shaq par nahi ... yakeen ki buniyaad par faisla karti hai
Bina mushkil mein padhe kamyabi milti bhi toh nahi ... mushkilen itni padhi mujhpar ki aasaan ho gayi
Yahan suraj hamari aagya lekar nikalta hai aur chand hamare ishare se doobta hai ... hamare liye aane waale kal aur guzar jaane waale kal mein koi fark nahi ... dono hi hamare ghulam hai
Joh ladka ladki ki kare hifazat ... usse shaadi ki hai ijazat
Yeh Hindustani ladkiyon ka khaas andaz hota hai ... yeh haan bhi na ki tarah karti hai ... aur na haan ki tarah
Duniya mein do cheezein aaisi hai jinhe koi bhi nahi chupa sakta ... ek husn aur doosri daulat
Insaan sirf ek hadh tak bardaash karne ki taqat rakhta hai ... aur takleef hadh se bahar ho jaaye ... toh uska har ussool sheshay ki tarah toot tootkar girne lagta hai
Bhagwan ki dharti bahut badi hai ... aur insaan ke kadam bahut chote
Shaadi karne ka sirf ek hi faiyda hai ... ki agar aadmi markar narak mein bhi jaaye ... toh lagta hai swarg mein aa gaya
Khoon bahana bahut aasaan hai ... lekin khoon ko bachana bahut mushkil hai
Samajhte ho ki sab samajhta hoon ... isse badhkar insaan ki nasamajhi aur kya ho sakti hai
Jis tarah soot aur kapas alag nahi ho sakte, tann aur mann alag nahi ho sakte, baal aur khaal alag nahi ho sakte ... issi tarah male aur female bhi alag nahi ho sakte ... in dono ka milap hi prem aur shanti ki manzil hai
Insaan bhale hi nafrat zahir kare ... lekin uske dil mein pyar chupa hota hai
Devta ki mahaan shakti apne bhakton ki hamesha raksha karti hai
Duniya mein har insaan ko do cheez ki bhook hoti hai ... ek daulat ki aur doosri mohabbat ki
Jeevan ke saath itna prem na karo ... varna marte samay bahut dukh hoga
Agar tum mere tukde tukde bhi kar doo ... phir bhi mera har tukda haq ki aawaaz dega
In doctoron ke chakkar bhi ajeeb hote hai ... jinke paas kuch nahi hota, unhe kehte hai phal khao, makhan khao, badam khao ... aur jinke paas sab kuch hota hai, unhe kehte hai ki yeh mat khao woh mat khao
Jis din kisi ghar ki deewaron ke kaan nikal aate hai ... us din us ghar ki buniyaad mein dimak lag jaati hai
Paise ka koi rang nahi, roop nahi ... koi dharam nahi, imaan nahi ... koi punya nahi, paap nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory