Aurat ko apna maan, bhakt ko uska bhagwan, gareeb ko uski aan aur amir ko uski shaan ... bahut pyari hoti hai
Kisi ki shab-e-vasl haste kate hai, kisi ki shab-e-hijr rote kate hai ... hamari yeh shab kaisi shab hai ki ya rab, na haste kate hai na rote kate hai
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Tum usse apna samajhte ho, joh madad leta hai ... main usse apna kehta hoon, joh madad deta hai
Bhagwan kuch bhi nahi ek insaan hai joh mahaan hai ... bhakti kuch bhi nahi ek shakti hai ... karam kuch bhi nahi ek kartavya hai ... prem kuch bhi nahi ek anand hai ... yeh anand agar tumhe prapt karna hai toh tumhe usse, mujhse, har ek se prem karna hoga
Joh zanjeeron mein jakde hote hai woh hamesha gaddar nahi hote ... aur joh oonchi kursiyon par behte hote hai woh hamesha wafaadar nahi hote
Duniya mein tumhe sab kuch mil jayega ... lekin mohabbat bhara dil nahi milega
Hamare dil mein chupe nafrat ke angaaron aur hawa na de ... varna tu is aag mein jalkar raakh ho jayega
Joh santo ki baat na maane woh barso pachtaye ... jis jis raah se guzre tis tis joote khaye
Dhamki aur challenge toh darpok log dete hai
Aadmi zindagi aur maut dono se jhoot bol sakta hai ... lekin apni premika se nahi
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Jaise taise taalo isse ... lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
Jab hamari tarah pachpan ke ho jaoge ... toh aaisa bachpan ka sawaal nahi karoge
Ration par bhashan bahut hai ... lekin bhashan par ration koi nahi
Dosti aur wafaadari ka saboot baaton se nahi ... kaam se diya jaata hai
Adaalat shaq par nahi ... yakeen ki buniyaad par faisla karti hai
Beti ke rishtey kaanch ka khilona nahi hote ... jinse dil bahel gaya aur todkar ghar ke bahar phek diya
Main teri maut itni kharaab kar doonga ... ki tujhe dekh kar maut ka farishta bhi kaanp uthe
Mere jaal mein aayi hui chidiya udh nahi sakti ... kyun ki main uske par katar deta hoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory