Main bhi tumhari khoobsurati ki ek zamane se puja kar raha tha ... tumhari surat apni umeedon ki tasveer se mila milake dekh raha tha
Inki sundarta ki tareef karna toh chand ko aaina dikhana hai
Aadmi kitna hi bura kyun na ho ... woh kabhi na kabhi zaroor pachtata hai
Zaalim ka zulm jaan le sakta hai ... lekin haq ki awaaz ko nahi daba sakta
Kitni oonchi baat kahi hai aapne ... mann pavitra ho gaya
Tum gareeb ki izzat cheen sakte ho ... uski kismat nahi
Talwar ka zakhm bhar jaata hai ... lekin zubaan ka zakhm nahi bharta
Woh kaali kaali botalein joh hai sharaab ki ... arre raatein hai in mein band hamare shabaab ki
Jhamela char din ka tha, hawali they mawali they ... Sikandar jab gaya duniya se, dono haath khali they
Ab na ye haath chhodenge, na mooh modhenge, na dil todhenge
Dard-e-dil ke vaaste pehda kiya insaan ko ... varna puja ke liye farishtey kam na the bhagwan ko
Khuda bachaye teri mast mast aankhon se ... farishta ho toh bahek jaaye, aadmi kya hai
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai ... kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de ... aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye ... yeh hum bhi nahi jaante
Jis tarah ghoda dabakar bandook se goli bahar nikaal dete hai ... ussi tarah galati manane waale ke sar par haath pherkar hum purani baaton ko dil se nikaal dete hai
Badalkar fakeeron ka hum bhes Ghalib ... ahle-e-tamasha ke dekhte hain karam
Zulm ki tahani kabhi phalti nahi ... nav kagaz ki sada chalti nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory