Hum dil mein aag aur chehre par gulaab rakhte hai ... mitakar aapke mardon ki bhookh hum un auraton ka rubaab rakhte hai
Alia Bhatt
Jab Shivaji raje ki talwar chalti hai ... toh auraton ka ghunghat aur brahmanon ka janeyu salamat rehta hai
Kajol
(Aurat chahe kisi bhi mukaam par pahunch jaye, par apni sahi umar batane se katrati hai) - Sahi umar batane mein ke hai ... par asal mein aurat us umar ka sahi hisaab na lage sake hai joh usne apne liye jee ho
Bhumi Pednekar
Tum ladkiyan bhi na badi chalaak hoti ho ... jaanti sab ho lekin humse sunna chahti ho
Akshay Kumar
Jin gharon par Allah meherbaan hota hai ... wahan betiyan paida hoti hai
Jaya Bhaduri Bachchan
Ladkiyan shikaar hoti hai ... yaar nahi
Unknown
Aurat ke ek nahi teen janam hote hai ... pehla jab woh kisi ki beti bankar is duniya mein aati hai ... doosra jab woh kisi ki patni banti hai ... aur teesra jab woh maa banti hai
Farida Jalal
Yeh sindoor bazar mein do paise mein zaroor milta hai ... lekin jab kisi aurat ki maang mein bhar diya jaata hai ... toh iski keemat bhagwan bhi nahi chuka sakta
Rani Mukherjee
Mard ki taqat uski aankhon mein hoti hai ... lekin aurat ki taqat uski zubaan hoti hai
Mukesh Khanna
Roti huyi aurat pe aur dhood wale pe kabhi bharosa nahi karna chahiye
Irrfan Khan
Ek aurat jab tak maa nahi banti ... woh adhoori rehti hai
Jaya Prada
Prem mein mazaa hi tab aata hai jab ladki gusse waali ho
Rajesh Khanna
Auraton par kabhi yakeen mat karna ... mardon ke liye woh maut hoti hai ... kubool kare toh shohar banakar maarti hai ... thukra de toh deewana banakar
Nana Patekar
Main yeh toh jaanta tha ki aurat agar apne makaam se uthe toh devi ban sakti hai ... magar yeh nahi jaanta tha ki agar girne pe aaye toh aap jaisi nagin bhi ban sakti hai
Kader Khan
Joh aurat doosri aurat ki izzat na kare ... hamari nazar mein woh aurat hi nahi
Salman Khan
Aurat ke dil ke andar joh jhankkar uske har khwab ko dekh sake ... wohi uska asli haqdaar hota hai
Ajay Devgan
Ek aurat ke liye pyar karne mein aur uska izhaar karne mein koi farak nahi hai ... lekin mardon ke liye pyar karna bahut aasaan hai, pyar ka izhaar karna bahut mushkil
Tanuja
Sansar ne aurat ko maa ke roop mein dekha hai, bahen ke roop mein dekha hai, beti ke roop mein dekha hai ... magar chandi ke roop mein nahi dekha
Madhuri Dixit
Har successful aadmi ke peeche ek aurat ka haath hota hai ... lekin main yeh kehna chahti hoon ki ... ek kaamyab aurat ke peeche ek kaamyab aadmi ka haath hota hai
Sunny Leone
Ladki aadmi ko ganne se gudh bana deti hai
Ali Zafar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory