Hamare haathon arrest hone waale ... bail nahi maangte
Mahie Gill
Jab tak baithne ke liye na kaha jaaye sharafat se khade raho ... yeh police station hai tumhare baap ka ghar nahi
Ram Charan
Police ki maar ki baat hi hai nirali ... goonga bhi gaye qawali
Sunil Shetty
Is desh ki population ke mann ke andar sirf frustration hai ... system ki is constipation se bahar yeh situation hai ki har jagah saturation hai ... public yeh jaanna chahti hai ki is intoxication ka justification kya hai ... right to information hai lekin us par objection hai ... police ke power hai lekin uska limitation hai ... jiske paas designation hai uske paas intention nahi aur jiske paas suggestion hai uske paas position nahi ... aaise mein janta kya kare yeh mera question hai
Amitabh Bachchan
Mereko damaad thoda hatke chahiye ... aaisa jisko dekh ke public sadak pe se hat jave ... police station se police hat jave ... aur mahulle mein se bade se bada gunda phut jave
Kader Khan
Tumne police ki vardi kahan pehan rakhi hai ... yeh toh ek kafan hai joh tumhare zameer ki laash ne pehan rakha hai
Signal pe khada hawaldar sau rupaye mein meherban hai ... naam tumhara Khan toh aatankvadi poora khandan hai ... wahan apne hi ghar mein pankhe pe latak raha kisaan hai ... lekin mera desh mahaan hai
John Abraham
Bazaar mein behti tawaif aur aapke kanoon ke rakhwaalon mein koi fark nahi hai ... fark hai toh sirf itna, ki woh apna jism bechti hai aur yeh apna imaan
Govinda
Police ka kaam hai kauwon ki tarah choch marna ... aur hamara kaam hai unhe bajra dalkar gumrah karna
Amrish Puri
Maine suna tha police walo ko kabhi ungli nahi karni chahiye ... lekin police wale hamari aisi ungli karenge ... kabhi nahi socha tha yaar
Irrfan Khan
Jaise maa apne bachon mein farak nahi karti ... aise police wala bhi apne badmasho mein farak nahi karte ... hum sabko ek hi aankh se dekhenge ... maa ki aankh se
Diljit Dosanjh
Bade police waale ki aankh mein aankh daalke baat karne ka mazaa hi zabardast hota hai
Nawazuddin Siddiqui
Gut feeling, aggression, common sense ... yeh hai Mumbai police ka kaam karne ka tareeka
Jab ek aam majboor aadmi police ka bare mein soche ... toh usse bharose aur mazbooti ka ehsaas hona chahiye
Priyanka Chopra
Ek police waale ka dimaag bhaagte bhaagte thakar jab behat jaata hai ... ek shatir chor ka dimaag wahan se daudna shuru karta hai
Vinod Khanna
(Kaun ho tum?) ... Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar ... masoomon ko zindagi dekar ... zaalimon ko maut ki neend sulaane waala ... inspector Ranjit Kumar
Jeetendra
Yeh chor aur police ki joh dosti hoti hai na badi mushkil se hoti hai ... aur jab hoti hai toh atoot hoti hai
Kiran Kumar
Toop aur tanko se khelne waale fauji ... police ke tamancho se darra nahi karte
Pankaj Dheer
Police ki vardi aur khoon ki garmi aadmi ko bada khuddar bana deti hai
Iftekhar
Police ke aadmi se wafadar aadmi aapko poori duniya mein kahin nahi milega ... lekin ek baar bik gaya toh samjho poori zindagi bika hua hi rahega
Unknown
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory