Maa ke haath sirf aashirwad dene ke liye hote hai ... maafi mangne ke liye nahi
Fardeen Khan
Jis bete ke sar par apni maa ka aashirwad ho ... usse tum jaise shaitan toh kya bhagwan bhi nahi maar sakte
Rishi Kapoor
Aaj ke baad mujhe agar kisi ke khilaaf koi bhi report mili ... toh main uska woh haal karoonga, ki maa baap bhi nahi pehchanenge
Sanjay Dutt
Is aurat ke mann mein chupa hai paap ... bachche ka woh padosi hai baap
Arun Bakshi
Bharat hamari mata hai, underworld jiska pita hai ... jago India jago!
Unknown
Maa ki bad-dua bhi dua bankar lagti hai
Jaya Bhaduri Bachchan
Har maa baap yeh chahte hai ki unka beta Bhagat Singh jaisa ho ... par koi yeh nahi chahta ki Bhagat Singh unke ghar mein pehda ho
Maa ki mamta aulad ki zindagi ke liye amrit hai ... lekin jab woh mamta andhi ho jaye toh zehar ban jaati hai
Shreeram Lagoo
Maa baap apne bachon par haat uthane ka haq rakhte hai ... par jis din bachon ne apne maa baap pe haat utha diya na ... us din rishtey khatam ho jaate hai
Maa ki mamta ko maut ke thapadhe bhi nahi badal sakte
Sulochana Latkar
Khili thi dhoop-e-harsam aur pani barasta tha ... jab tu paida hua toh teri maa roti thi aur baap hasta tha
Mehmood
Maa ka matlab joh mujhe kisi dictionary ne nahi, balki zindagi ne sikhaya hai ... woh hai ek aaisi aurat jiski aankhon se bacha dekhna seekhta hai, jiski zabaan se bacha bolna seekhta hai aur jiske pairon se bacha chalna seekhta hai
Vinod Mehra
Jab sar ke upar se chatt aur pair ke neeche se naram carpet hat jayega ... tab pata chalega isse ki bahar ki duniya baap ka ghar nahi hai
Om Shivpuri
Ek maa jise doodh pilati hai ... uske saaye tak ko pehchanti hai
Sushma Seth
Joh baap apni beti ko apne faide ke liye istemaal karte hai ... usse kothi mein nahi, kothe pe rehna chahiye
Mandakini
Ek baap das bachche paida kar sakta hai ... lekin das bachche milkar ek baap nahi bana sakte
Amrish Puri
Meri maa ke haath ka banaya halwa ... ajab hai uska jalwa
Anil Kapoor
Uss vaishi darinde ne meri maa ke haath toh kaat diye hai ... lekin meri maa ka aashirwad nahi kaat sakta woh
Dharmendra
Baap ki arthi bete ke kandhe pe jaya karti hai ... bete ki arthi baap ke kandhe pe nahin
Amitabh Bachchan
Hum majboor baap ka beta hai, kismat thi hamari ... par aapko mazboot beta ka baap banna padega, yeh kismat hai aapki
Rajkummar Rao
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory