Koi bole Ram-Ram, koi khudaye, koi sevegosaiya, koi alaye ... rab ko manne ke tarike aur jagah alag alag ho sakte hai ... par rab ka ghar ek hi hota hai
Akshay Kumar
Jinke paas pyar ki daulat ho ... unhe kabhi gareeb nahi samajhna chahiye
Salman Khan
Joh koi zulm ke khilaaf awaaz uthawat hai ... wohi insaan hai, wohi zinda hai
Ajay Devgan
Rishtey hone se rishta nahi banta ... rishtey nibhane se rishta banta hai
Mithun Chakraborty
Haar tab hoti hai jab haar maan li jaye
Shahrukh Khan
Sawa lakh se ek ladaun ... to hi Guru ka Sikh khelaun
Unknown
Joh kaam aaj poore nahi hue woh kal poore honge ... har subah apne saath asha ki ek nayi kiran lekar aati hai
Alok Nath
Insaan paison se nahi ... parvarish se bada hota hai
Saeed Jaffrey
Aam aadmi ki rai kabhi aam nahi hoti
Emraan Hashmi
Zindagi mein hamesha apna faida nahi dekhna chahiye ... kabhi kabhi kuch kaam doosron ki bhalai ke liye bhi karne chahiye
Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati ... khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate
Apne kiye ki sazaa toh har insaan ko bhugatni padti hai ... lekin apna jurm kubool karne se, uski sazaa jhelna aasaan ho jaati hai
Amitabh Bachchan
Duniya mein bahut si aaisi baatein hoti hai joh namumkin nazar aati hai ... lekin agar insaan himaat se kaam kare aur woh sachcha hai ... toh jeet ussi ki hoti hai
Prem Nath
Jeetne waale woh cheez karte hai ... joh haarne waale nahi karte
Har din, ek pal, ek lamha aaisa hota hai ... jab rab sabki baat sunta hai ... aur sochi hui baat sach ho jaati hai
Avtar Gill
Fasla kitna bhi lamba ho ... shuruvat ek kadam se hoti hai
Kabir Bedi
Toofanon se guzaarish nahi ki jaati ... unka saamna kiya jaata hai
Zindagi ki asli khushi doosron ko khush rakhke haasil ki jaati hai
Guru Dutt
Zindagi mein kabhi jeet hai toh kabhi haar ... lekin agar hum koshish karne se pehle hi haar maan le ... toh hum mein pata kaise chalega ki hum haarne waale the ya phir shayad jeetne waale
Vivek Oberoi
Jaan chahe janwar ki ho ya insaan ki ... jaan, jaan hoti hai ... khoon chahe janwar ka gire ya aadmi ka ... dard dono ko ek sa hota hai
Govinda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory