Kameez ke toote huye button se lekar tooti huyi himmat tak ... aurat kuch bhi jodh sakti hai
Ajay Devgan
Jitni himmat mujh mein goli chalane ki hai ... usse kahi zyada himmat goli khane ki hai
Akshay Kumar
Aag mein kood padhun ... iraadon mein asar rakhta hoon ... naam hai Parwana ... hateli pe jigar rakhta hoon
License bandook ka nahi ... bandook chalane waale ki himmat ka hona chahiye
Gulshan Grover
Maut ke aankhon mein aankhen daalkar baat karne waale ko hum veer kehte hai ... aur aisi veerta veeron ka gehna hoti hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
Hathyar uthane waala kabhi saahasi nahi hota ... kyun ki usse apne se zyada bharosa uske hathyar par hota hai ... job kabhi bhi dokha de sakta hai ... lekin aapka saahas, aapki taqat, aapko kabhi dokha nahi degi
Sunil Shetty
Vardi ka najayaz fayda uthakar jurm ki hukumat karne waale agar tum jaise shaitan is desh mein maujood hai ... toh issi vardi ke liye apna sar katane waale janbaaz bhi is desh mein maujood hai
Mohan Joshi
Haath mein ghoda hone se goli nahi chalti ... jigra chahiye
Vivek Oberoi
Sachi baat kehne ke liye himmat ki zaroorat nahi ... himmat ki zaroorat hai sachi baat sunne ke liye
Unknown
Qatal karne ke liye bhi himmat chahiye
Prithviraj Kapoor
Tum mera jism todh sakte ho ... meri himmat nahin todh sakte ... mera yakeen nahin todh sakte
Amitabh Bachchan
Himmat tabhi aati hai jab poori tarike se phatti pe hoti hai
Asli bahadur woh nahi hote joh camera ke peeche sawaal poochte hai ... asli bahaduri woh dikhate hai joh camera ke samne aakar sach bolne ki himmat rakhte hai
Sonakshi Sinha
Inspector sahab aapne ab tak jail ki zanjeeron aur salakhon ka loha dekha hai ... magar Shalu ki himmat ka faulad nahi dekha ... pehna di jiye sar se paon tak loha, kheench di jiye zameen se aasman tak lohe ki deewar ... magar Shalu har deewar ko todh degi
Juhi Chawla
Musibaton ka saamna himmat se karna chahiye ... aasunyon se nahi
Sheeba
Soorma wohi hai bade joh har haal mein lade ... sar hatheli par lekar chale ... dharam unka hai veerta, karam unka hai veerta ... jeet ya haar hogi yeh sochte nahi
Suhasini Mulay
Paise kamane ke do tareeke hai ... ek toh zabardast mehnat, lekin uske liye bahut samay ka intezar karna padta hai ... aur doosra bagair mehnat ke insaan amir ban sakta hai, lekin uske liye hausle ki zaroorat hai
Ashok Kumar
Police ki naukri karne ke liye jigar ispat ka aur badan faulad ka banana padta hai
Tera husn meri taqat, teri tezzi meri himmat ... is sangam se joh aulad pehda hogi ... yun samajh aulad nahi faulad hogi
Himmat toh josh mein aakar koi bhi dikha sakta hai ... par sabar se kaam lena yeh har kisi ke bas ki baat nahi hai ... aur yahi fark hai ek amateur aur ek professional ke beech
Manish Chaudhary
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory