Seedhi sachi baatein karne ke liye kaleja chahiye
Amitabh Bachchan
Dushman ke ghar mein daakhil hone ke liye ... tameez ki nahi taqat ki zaroorat hoti hai
Milind Gunaji
Achcha bhi laga aur bura bhi ... achcha laga teri himmat dekh kar ... aur bura laga tera anjaam sooch kar
Mithun Chakraborty
Badkismati toh hamari behen, bahu, betiyon ki hai ... is desh mein janam lene se pehle kok mein jaan ka khatra ... aur janam lene ke baad izzat ka ... magar aaj ke baad aaisa nahi hone waala ... kyun ki jab jab kisi aurat par zulm hoga ... tab tab har insaan banega himmatwaala
Ajay Devgan
Shaurya sirf kisi ko maar girane ko nahi kehte, shaurya sirf salaami dene ko nahi kehte ... shaurya toh hamare bahut andhar hota hai ... ek hausla, ek himmat
Amrita Rao
Bahadur ko uski bahaduri fasati hai ... aur darpok ko uska dar
Paresh Rawal
Ab hum darke shaant nahi baithenge ... karke shaant baithenge
John Abraham
Vishvas aur himmat do aaisi taqatein hai ... joh namumkin ko mumkin bana sakti hai
Unknown
Baazi haar dene ka naam haar nahi hota ... himmat haar behetneka naam haar hota hai
Sohrab Modi
Zakhm ko zakhm nahi samajhna bahaduri nahi ... bewakoofi hoti hai
Twinkle Khanna
Taqat is vardi mein nahi ... iske pehenne waale ke zameer mein hoti hai
Salman Khan
Aadmi ki taqat aur uski himmat, uski chaati kitne inch ki hai isse tay nahi ki jaati ... uski taqat hoti hai uske dimaag mein
Nawazuddin Siddiqui
Dilli wale dil ke mamle mein kamzor ho sakte hai ... dare ke mamle mein nahi
Ranveer Singh
Zindagi mein jab ek darwaza band hota hai ... aur aapko lagta hai thak gaye, haar chuke ho ... toh sirf aur sirf aapki himmat aur shakti aapke liye kayi aur darwaze khol deti hai ... and that's what makes you discover the real you, the fighter in you
Sunny Leone
Kudrat ne humein mohabbat aur nafrat dono ki kaabiliyat di hai ... lekin sabse zyada jurrat mohabbat ke liye nahi, nafrat ke liye lagti hai
Urvashi Rautela
Sher dahaadte hai toh kaanpte huye geedhar girte hai ... hum toh woh hai joh sheron ke mooh mein haath daalke unke daant ginte hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
India mein fighter ring ke bahar banta hai ... kyun ki idhar toh peene ke pani se lekar bache ke school ki fees tak fight hai ... joh gussa aur jigar ek fighter ka goal hota hai na ... woh aapko yahan gali gali mein milega
Aurat ki sabse badi himmat hoti hai kisi gair mard ke aage apne jism se kapde utarna
Upasna Singh
Ladaiyan hauslon se jeeti jaati hai ... sankhya, bal aur hathyaaron se nahi
Kameez ke toote huye button se lekar tooti huyi himmat tak ... aurat kuch bhi jodh sakti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory