Hamari asli jaidaat, hamari asli daulat toh hamare yeh rishtey hi hote hai ... joh hum mein virasat mein milte hai
Saanp ko fann uthane se pehle kuchalna, main achchi tarah janta hoon
Opposition agar janta ko bhashan deti hai ... toh hum janta ko ration denge
Jab suraj aankhen band kare, sajke nikalti hai Mumbai ... kabhi uljhati, kabhi girati, kabhi sambhalti hai Mumbai ... kabhi baap ka thappad, kabhi maa ki godh hai Mumbai ... tang galiyon ki bul-bulaiyan, kabhi phaila samundar hai Mumbai ... pal pal kachole badalti jhole ka pitara hai Mumbai ... sapno bhari aankhon ka, beghar banjaron ka, mohabbat ke maaron ka aasra hai Mumbai ... kabhi sangdil toh kabhi humdil ... pairon mein chakkar dale har pal daudti hai Mumbai ... maano toh maya nagri, na maano toh patthar ka shehar hai Mumbai
Baaghi kamzor ho toh usse phansi ka takhta milta hai aur taqatwar ho toh takht milta hai
Kya pyar hai, kya dulaar hai ... kitna sukhi pariwar hai, mera toh dil nisaar hai
Joh doosron ke liye zehar gholta hai ... usse khud bhi zehar peena padta hai
Aapke shehar ka mausam bada suhana lage ... ek lamha chura loon agar bura na lage
Sapnon ke haar goothne behti thi zindagi ... joh phool kam pad gaye toh kaante pe roh liye
Aadmi bure se bure aadmi ka yakeen kar sakta hai ... lekin aurat zaat par bharosa nahi kar sakta
Zamane bhar ki logon ki auladen pehda hokar paalne mein palti hai ... lekin hamari auladen seedhi kursi par behetti hai
SP ho ya DSP, collector ho ya commissioner ... kanoon ki sari hastiyan mere aangan mein palti hai aur is chhat ke neeche un tamaam logon ki taqdeerein likhi jaati hai
Mere farz mein itna faulaad hai ... ki us mein pistol bhi ban jayegi aur hathkadi bhi
Main tumhe us darje ka gunahgar maanta hoon ... ki ek hi jagah rehkar, ek hi waqt tum dus gunah kar sakte ho
Tum aur tumhare dost is waqt meri hukumat mein ho ... aur yahan par meri ijazat ke baigar ek patta bhi nahi hil sakta
Mumbai ki yahi problem hai ... aadmi koode ki jagah par behatta hai ... aur kooda aadmi ki jagah pe
Meetha bol bada anmol!
Samundar tabhi tak samundar hai jab tak woh khamosh rehta hai ... aur jab uski khamoshi tootti hai toh woh toofan ban jaata hai
Kismat hamare saath hai, uske haathon mein apna haath hai, chand chakori ki mulaqat hai, premi ko mili daulat ki saugat hai, lekin is baat mein bhi ek baat hai, shaadi ke baad main aapse poochunga daddy ... aapki kya aukaat hai?
Aksar log school mein padhte hai aur padhate hai ... lekin bahut kam log hote hai joh apne aap mein school hote hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory