Ek baar jab main faisla kar leta hoon toh, joh sochta hoon woh karta hoon ... joh chahta hoon woh paata hoon
Log botal kholke peete hai ... hum dil kholke peete hai
Le liya jugnuo taaro se karza maine ... magar apne chaand ko hargiz nahi kharcha maine
Gham koi dena hai toh dede mujhe ... dil mein rakh loonga nishani ki tarah
Tujhe main itne dino tak bandh rakhunga saale ... jab tak tu chakki pees-peeskar sarkar ke liye itna paisa kama le ... ki sarkar ka jail banane ka karcha vasool ho jaye
Dard ne kuch aisa mujhe jinjoda, ki woh gali, woh mahulla, woh shehar chhoot gaya ... khatta yeh huyi ke toda ek masoom sa dil ... saza yeh mili ke rishta sabhi se toot gaya
Kings sabko yaad rehte hai ... kingmakers yaad nahi rehte
Idiots hai woh jinko sach se darr lagta hai ... darna rumours se chahiye ... kyun ki rumour ko agar roka na gaya toh woh aisa sach ban jaata hai ... jiske saamne sach bhi jhooth lagne lagta hai
Sanwaar nok palak aabruon mein kham karde ... gire pade huye lafzon ko mohtaram karde
Humne dekhe hai bahut baatein banane waale ... baatein waale toh janaab kaam kidhar karte hai ... woh joh dekhe hi nahi toofan uthate sagar ... woh kya khaak samundar mein safar karte hai
Rishwat khao aur rishwat khilao
Apne plans se zyada zaroori hai unke plans jaan lena ... so you can be one step ahead
Mehfil lagi hai yahan mohabbat karne waalon ki ... koi lutta hai toh koi lootta hi hai ... dilon ke khel mein aksar kahin na kahin sheesha tootta hi hai
Ek pal mein poori zindagi badalne ki taqat hoti hai
Duniya mein agar kuch hai, toh woh paisa nahi, daulat nahi ... pyar hai, mohabbat hai
Aap hasti hai ... toh ghungroo bajhte hai
Mohabbat kabhi jhooti nahi hoti ... kayi daffa jis se hum mohabbat kar behet'te hai, woh jhoota hota hai ... lekin mohabbat hamesha sachi hoti hai
Kayi daffa mohabbat ko zinda rakhne ke liye, uske diye zakhmo ko kuredte rehna padta hai
Deewane se deewangi ka sabak na poochna ... woh khud nahi jaanta ki woh deewana kyun hai
Agar zindagi bhar ka hisaab lagaya jaye ... toh gairon ke muqabale apne hi zyada khatarnak sabit hue hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory