Aurat maa hoti hai, bahen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai ... aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai
Itna guroor toh chaand ko bhi nahi hai
Main aankhen band karta hoon toh tumhe dekhta hoon ... aankhen kholta hoon toh tumhe dekhna chahta hoon ... tum paas nahi hoti ho toh tumhe chaaron taraf mehsoos karta hoon ... har pal, har ghadi, har waqt
Dosti ke alava bhi kuch rishtey hote hai ... kuch rishtey joh hum samajhte nahi ... kuch rishtey joh hum samajhna nahi chahte ... kuch rishtey jinka koi naam nahi hota, sirf ehsaas hota hai ... kuch rishtey jinki koi deewar nahi hoti, sarhad nahi hoti ... aaise rishtey joh dil ke rishtey hote hai, pyar ke rishtey hote hai, mohabbat ke rishtey hote hai
Agar yeh tujhe pyar karti hai toh yeh palat ke dekhegi ... palat ... palat!
Sachi mohabbat zindagi mein sirf ek baar hoti hai ... aur jab hoti hai ... toh koi bhagwan yah khuda usse nakamyab nahi hone deta
Duniya mein do tarah ke log hote hai ... winners and losers ... lekin zindagi har loser ko woh ek mauka zaroor deti hai ... jis mein woh winner ban sakta hai
Sarhad paar ek aisa shaksh hai ... joh aapke liye apni jaan bhi de dega
Agar tum galat raaste par chaloge ... toh ho sakta hai shuruvat mein tumhe bahut kamyabi mile, bahut khushiya mile ... magar anth mein tumhari haar hogi ... aur agar sahi raaste par chaloge ... toh bhale hi shuruvat mein tumhe kadam kadam par thokarein mile, musibaton ka samna karna pade, pareshani ho ... magar anth mein hamesha jeet hogi
Tumhare paas joh hai tumhare hisaab se kam hai ... lekin kisi doosre ke nazar se dekho ... toh tumhare paas bahut kuch hai
Baniye ka dimaag ... miya bhai ki daring
Bahar tumhari aunty bahut saare uncles ko lekar aayi hai
Tum na gali ki gundi ho!
Mujhe andhera pasand hai ... tumhare aane waale kal ki yaad dilata hai
Kehdo ki tumhe nahi lagta ki hum dono ek doosre ke liye bane hai ... kehdo ki jab main tumse door jata hoon, tum mujhe palat kar nahi dekhti ... kehdo ki jab main tumhe choota hoon, tumhe kuch nahi hota ... kehdo ki is waqt tum meri baahon mein nahi aana chahti ... ek baar meri aankhon mein dekho aur aakhri baar kehdo ki tum mujhse pyar nahi karti
Isse pehle ki Don ka dushman apni pehli chaal chale ... Don apni agli chaal chal chuka hota hai
Don apne doston ka haal pooche na pooche ... apne dushmano ki khabar hamesha rakhta hai
Ek baat hoti thi tab tum bahut yaad aati thi ... (kab) ... jab jab main saans leta tha tab tab
Hamari filmo ki tarah, hamari zindagi mein bhi end tak sab kuch thik hi ho jaata hai ... happy's ending
Udne ki baat parinde karte hai ... tutte huye par nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory