Police, gundagardi aur politics ek mala mein pehrohe hue motiyon ke samaan hai ... aur in teeno mein se kisi ek ko kasht ho jaye toh ek doosre ke hamdard ban jaate hai
Raj Babbar
Jab hum pehda hue the toh raat ke barah bajhe the ... aur raat ke barah bajhe sirf shaitan pehda hua karte hai
Danny Denzongpa
Paapiyon ka anth karne waale tumse pehle bhi kahi avtaar le chuke hai ... lekin is dharti par na paap khatam hua hai aur na hi paapi
Raghuvaran
Is underworld mein log ghuste toh pant kameez pehankar hai ... lekin rawangi kafan mein hoti hai
Unknown
Hamari kitaab mein galati ka lafz hi nahi hai ... hum galat kare toh sahi kehlata hai aur zulm kare toh insaaf kehlata hai
Kader Khan
Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai ... hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
Rekha
Mere baap ne mera naam Premanand is liye rakha hai ... ki main hamesha prem aur anand mein rehta hoon ... lekin jab koi hamara nuksaan karta hai toh hamara kroadh prem par haavi ho jaata hai ... aur hum dushmano ke liye Kroadhanand ban jaate hai
Sadashiv Amrapurkar
Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon ... mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon ... jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai
Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho ... lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi ... us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge
Bhagwan ka shukar ki jiye ki usne hum mein koi behen nahi di ... varna saala kehne par cheerkar phek deta
Mithun Chakraborty
Dhamki aur gaali ... yeh dono se achche achchon ki phat jaati hai
Adalat se jab kisi ko saza-e-maut milti hai ... toh Rashtrapati ke paas mercy appeal karke maut se bach sakta hai ... lekin Dada Thakur jab kisi ko maut ki sazaa sunata hai ... toh uske liye zindagi ke sare raste band ho jaate hai
Tumhe chaubees ghante ki mahulat di ... jeena chahte ho toh aakar mujhe us aadmi ka naam bata dena ... varna tumhari is bachi-kuchi zindagi ko pacheesva ghanta dekhna naseeb nahi hoga
Usse kahin kuch ho gaya toh saara khoon kheenchkar teri nasson mein itna barood bhar doonga ... ki tu zindagi bhar jalta rahega
Joh jitna ooncha udhta hai ... usse kaatna utna hi aasaan hota hai
Pavan Malhotra
Clinic all clear dandruff shampoo ki tarah clear clear bata do ... varna itna maarenge ki zindagi bhar badan pe kapdon ki jagah dukh dabao lep lagakar ghoomoge
Johnny Lever
Abhe pain balm ... ghamorio ke saste powder!
Mere bahadur saathiyon ... nikal aao bahar aur laashon se bhar do is shehar ko ... jala do, raakh kardo, ek bhi zinda na rahe
Yeh haath bada ziddi hai ... gardan pakad le toh dum nikaal ke chhodta hai ... aur haath pakad le toh apna ke chhodta
Rajesh Khanna
Main lift se ya seedhiyon se nahi ... laashon ke dher ke upar chad chadke upar pahuncha hoon
Amole Gupte
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory