Zindagi band ghar ka diya banke reh gayi hai ... joh na achchi tarah se jal sakta hai aur na hi poori tarah se bhujne mein aata hai
Unknown
Yeh toofan toh soo raha tha aman ke badalon ko apna takiya banakar ... isse jagaya bhi tumne hai aur uthaya bhi tumne
Dharmendra
Main janta hoon joh kuch bhi isne kiya usse koi maaf nahi kar sakta ... bhagwan bhi nahi ... lekin ek maa maaf kar sakti hai
Rajesh Khanna
Main maut se nahi darti ... maut se usse darr lagta hai jise zindagi se pyar ho ... aur zindagi se usse pyar hota hai jise zindagi ne kuch diya ho
Nirupa Roy
Reghistan chahe kitna hi bada ho ... usse zyada vazan us mutthi bhar mitti ka hota hai ... jisne kisi paudhe ko janam diya ho
Jaya Prada
Joh awaaz bhooke pet se nikalti hai ... woh door door tak jaati hai
Farha Naaz
Joh dil se nikalta hai woh kala hota hai ... joh dil mein dabba rehta hai woh kaala hota hai
Darshan Jariwala
Insaan jhoot bol sakta hai ... lekin uske ungliyon ke nishaan jhoot nahi bol sakte
Kulbhushan Kharbanda
Logon ko woh do joh unhe chahiye ... aur unse woh lo joh hum mein chahiye
Jackie Shroff
Aadmi kitna hi bura kyun na ho ... woh kabhi na kabhi zaroor pachtata hai
Pran
Ameeri aur gareebi ke darmiyan yeh joh fasla hai na ... yeh sadiyon se badta hi ja raha hai ... isse koi kam na kar saka
Manoj Kumar
Tum toh aaise zaleel insaan ho ... ki tumhe agar munafa nazar aaye toh dharti maa toh kya ... tum toh apni sagi maa ko bhi bech doge
Anupam Kher
Chaand suraj apni jagah se hat sakte hai ... lekin Thakur apne vaade se nahi palat sakta
Anil Dhawan
Is bazaar mein log bikte hai, zameer bikta hai ... shareer toh shareer, yahan atmaon ke bhi saude hote hai
Manisha Koirala
Imaarat pehle bahar se nahi, andar se hi tootti hai ... insaan aksar doosron se nahi, apne aap se, apne vicharon se aur apne rawaiye se hi dokha kha jata hai
Shafi Inamdar
Mausam bhoole nahi jaate ... yaad taaza karne baar baar aate rehte hai ... kabhi zakhmo ko bharne toh kabhi zakhmo ko gehra karne
Aadat badli ja sakti hai ... fitrat nahi
Duniya adhoori nahi hoti ... muqammil hoti hai ... adhoora aadmi hota hai
Aaj ke zamaane mein andhere ke saath saath shaitan sadak par utar aata hai
Govinda
Jab suraj sar par hota hai ... toh parchayi bhi saath hoti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory