Achche khareedar hamesha sauda karne se pehle ... doosre ki keemat ka andaza lagate hai
Ajit Khan
Hamare dhande mein na bandook chalti hai, na bomb, na chaku ... chalta hai toh sirf ek hi cheez ... dimaag ... aur woh hamesha hamare saath rehta hai, loaded
Abhishek Bachchan
Kabhi na kabhi, kisi na kisi ko toh ... fayde aur nuksaan ke aage soocha padega
Shahid Kapoor
Hamare business ka ek ussool hai ... ke rupiya do toh ginn ke do, rupiya lo toh ginn ke lo
Pran
Ek baar main sauda kar leta hoon toh paise vapas nahi leta
Javed Jaffrey
Maine zindagi mein prem ka karobar bahut dino tak kiya hai ... lekin prem sirf ek baar
Vyjayanthimala
Har partnership mein hamesha ek partner ka talent doosre partner se thoda zyada hota hai
Amitabh Bachchan
Import export ka matlab hai idhar ka maal udhar aur udhar ka maal idhar
Raj Kapoor
Jab khoon pasina ek saath kagaz par chapta hai na ... table bed ban jaati hai aur office ghar ... bhook pyas bhool jaati hai ... baal bachche rul jaate hai ... tab jaake saali company banti hai
Manish Chaudhary
Ek kalakaar kabhi bhi businessman nahi ban sakta ... aur ek businessman kabhi kalakaar nahi ban sakta
Paresh Rawal
Jab business chalana samajh ke bahar ho jaye ... toh business band kar dena chahiye
Arjun Rampal
Hamare dhande mein kisi ek ki kamzori ... doosre ki taqat ban jaati hai
Kiran Kumar
Dhande aur career ke bare mein bhai, bhai se jal sakta hai
Anil Kapoor
Businessman woh hota hai joh poori imaandari ke saath ... apne waqt, apne hunar, apni kaabiliyat ka sauda karne ke baad muhafza kamata hai
Koyle ki dalaali mein haath kaale ho jate hai ... magar kaala dhanda karne waalon ke toh mooh bhi kaale ho jate hai
Business is business and power is power
Unknown
Ek gaya apan ke dhande mein ... to sab jaayega
Makrand Deshpande
Main Bapu nahin hoon ... main bas apna dhanda karna jaanta hoon
Kya socha tu ... MC ya BC ... middle class ya business class ... in ya out?
Gulshan Devaiah
Hamare dhande mein dushman khatam nahi hote ... mehmaano ki tarah ek jaata hai toh doosra chala aata hai
Rami Reddy
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory