Yeh khoon ke rishtey hai ... insaan na inhe banata hai, na hi todh sakta hai
Kaatilon ke aage koi rasta nahi hota ... sirf kanoon ki ek kali deewar hoti hai
Meri zindagi mein ek aag lagakar tum bhi chain se nahi jee sakogi ... tumhari aatma til-til karke jalegi aur tumhe sukh ka ek saans bhi nahi milega
Maine tumhari mohabbat ko ishwar ka vardaan samajhkar seene se lagaye rakha ... aur uske badle mein tumne mujhe kya diya? ... apni bewafai ka yeh zehar ... yeh zehar jisne meri nas-nas mein nafrat aur inteqam ke jwalamukhi bhar diye
Main kisi se nahi darta ... main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta ... darta hoon toh sirf khoobsurati se
Doobti hui kashti mein bhaagne waale kabhi sahil ka mooh tak nahi dekhte
Dil paya albela maine ... tabiyat meri rangeeli ... aaj khushi mein maine bhai yahan ... thodi si bhaang peeli
Joh haath tumhari madad ko uthega ... main us haath ko kaatkar phenk doonga ... joh chhat tum logon ko aasra degi ... main us ghar ko jalakar raakh kar doonga
Din ke waqt toh phool achche lagte hi hai ... magar chandni mein dekhiye toh yun lagta hai ... jaise nanne nanne shokh farishtey door ke dariya mein tairte phir rahe ho
Karam karna manav ka dharam hai ... aur uska phal dena bhagwan ke haath mein hai
Charon taraf dekhte hai toh har baat mein khot aur milavat ... nal ka pani pejiye toh us mein dawai ki milavat hai, saans lijiye toh hawa mein millon ke dhuan ki milavat hai, agar khana khaiye toh roti ke aate mein mitti ki milavat hai ... charon taraf har baat mein jhoot hai ... dua mein, salaam mein, pyar mein, nafrat mein, gusse mein ... sab mein jhoot hai
Jab amir ka dil kharab hota hai na ... toh gareeb ka dimaag kharab hota hai
Paida hue bachche par najayaz jayaz ki chaap nahi hoti ... aulad sirf aulad hoti hai
Jhoot insaan ka zyada der tak saath nahi deta
Jiske mann mein vasna ho ... woh har kisi ko vasna ke adhin samajhta hai
Hum toh sirf yeh chahte hai sethji ... ki hamara aur aapka amir ya garib ka rishta na rahe ... malik ya mazdoor ka rishta na rahe ... balki hum dono ke darmiyan ek insaan aur insaan ka rishta kayam ho
Dil ki awaaz dil se suni jaati hai ... kaano se nahi
Jeevan mein jab bhi koi bada parivartan aata hai toh insaan ka swabhav aaise hi ho jaata hai ... kisi anjaan modh par pahunchkar woh ... baar baar pichle raaston ki taraf mudhkar dekhta hai
Kisi insaan ka yun khatam hona achcha nahi ... khatam toh honi chahiye uski burai, uska chotapan, uski khudgarzi
Yeh charon aur phaili hui dharti par rehne waale logon ki kewal ek hi jaat hai ... manushya jaat
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory