Kagazaat par dastakhat main hamesha apne kalam se karta hoon
Halaat, kismatein, insaan, zindagi ... waqt ke saath saath sab badal jaata hai
Tareef us khuda ki jisne jahan banaya ... unko haseen banakar mujhko jawan banaya
Jeet inki nahi hogi, jeet janta ki hogi ... jeet is jhoot ki nahi hogi, jeet sachai ki hogi ... jeet in khooniyon ki nahi hogi, jeet hum begunahon ke khoon ki hogi
Jab zindagi daudti hai ... toh ragon mein behta hua khoon bhi daudta hai
Joh log sachchai ki tarafdari ki kasam khate hain ... zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai
Agar main chor hoon toh mujhse chori karane waale tum ho ... aur agar main mujrim hoon toh mujhse jurm karane waale bhi tum ho
Gyan aur agyan mein antar hi kya hai ... kewal ek akshar ka ... lekin arth mein satyug aur kalyug ka sa bedh hai
Agar woh bechara ek din kaam par nahi jaata ... toh us bechare ke ghar mein chula nahi jalta ... aur jis din chula nahi jalta ... uska pet jalta hai, uski aatma jalti hai
Agar aaj hum sab aapas mein milkar aur apne kaam ko apna dharam samajhkar kare ... toh kal hamara desh bhi duniya ke sare mulkon ke aage apna sar ooncha karke khada ho sakega
Najayaz hote hai woh log ... joh najayaz kaam karte hai, najayaz baat karte hai, aur tumhari tarah najayaz sochte hai
Jab dil se dil ki shaadi hoti hai na ... toh us mein na baraatiyon ki zaroorat hoti hai na kisi aur cheez ki ... us mein tamannao ki baraat nikalti hai aur khushiyon ki
Is sansar mein koi manav poorna buddhiman nahi hota ... Brahma srishti rachate hai, Vishnu uski raksha karte hai aur Shiv usko nasht karte hai
Insaan apne maa baap ke naam se nahi ... apne ghuno se achcha ya bura samjha jaata hai
Insaan jab andhaa ho jaata hai ... toh usko raat aur din ke farak mein tameez nahi rehti
Pyar devtaon ka vardaan hai joh sirf bhagyashaliyon ko milta hai
Bhagwan ne kitni achchi tarah tumko sajakar is duniya mein behja hai ... aankhen jaise jheel mein khile hue do kamal ... dekhti hai toh aakash mein indradhanush khil uthte hai ... sharamati hai toh kaliyon ka sar jhuk jaata hai
Jab koi apradh vichar kiye bina kiya jaata hai ... usse bhool kehte hai ... lekin vichar ke saath kiya hua apradh ... nishchit apradh hi kehlata hai
Agar naali ke keeday ko duniya bhar ka sabun ikattha karke bhi saaf kiya jaye, usko dhoya jaye ... toh bhi woh gande ka ganda hi rahega
Rupaiya kya hai? ... mitti ki tarah ek bejaan aur bekaar cheez hai ... lekin jis tarah mitti mein mehnat ka beejh ugaye bagair paidawar nahi ho sakti ... ussi tarah rupaiya ke saath jab tak mehnat ka mel nahi hoga ... duniya mein kabhi koi tarakki nahi kar sakega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory