Hum yunhi zindagi bhar udna chahte the bharpoor ... par ghar walo ko hamari azaadi kahan thi manzoor
Ali Fazal
Kabira khada bazaar mein, sabki maange khair ... na kahu se dosti, na kahu se bair
Rajendra Kumar
Tere liye mera pyar, tera bhi mohtaaj nahi ... yeh marte dum tak rahega, sirf aaj nahi
Harshvardhan Rane
Tera pyar, pyar nahi teri zid hai ... jisse tu paar kar raha hai woh har hadh ki hadh hai ... mere dil mein tere liye mohabbat nahi, sirf nafrat hai ... tujhe tabaah joh kar degi woh is deewani ki deewaniyat hai
Sonam Bajwa
Kehne ko toh fitna hoon, magar main hoon qayamat ... aji is kalam ke ustre se bana deta hoon badhe badhon ki hajamat
Unknown
Charah gar chhod tere bas ka nahin rog mera ... sher nikaalte hai aap aur log uchaalte hai naam mera
Bharat Bhushan
Paan roz aakar udhaar khate ho ... aur uspe turrah yeh ke batwa chupate ho
Shabash barkhurdar, noor chasham, rahat-e-jaan ... tum chamkaoge apne ustad ka naam
Tarannum woh ke joh dil se chale toh lab-e-shayar mein jaadu sa bhar de ... magar hothon se jab goonje fiza mein toh zameen aur asmaan ko ek karde
Dev Anand
Main awara sifat ka kya bataun, jahan behatun meri mehfil wahin hai ... mohabbat hai jahan bhi zameen pe, main shayar hoon meri manzil wahin hai
Aye chasm-e-tamasha jhoom zara, ab waqt nazara aa pahuncha ... Kashmir mein do din jeene ko Kashmir ka maara aa pahuncha
Anjaam ki fikr nahi karte woh joh doobe rehte hai aashiqon ki jannat mein ... janbaaz hote hai woh aashiq joh tabah ho jaate hai ishq, pyar, aur mohabbat mein
Himesh Reshammiya
Upar wale ka karm aur duaon ka saaya jiske saath hai ... koi khatra kya bhigadega us bete ka, jis bete ke sar pe maa ka haath hai
Apne sabra aur yakeen ko roz badana padta hai ... cholay ko basanti aur iraadon ko faulaad banana padta hai ... yoon hi nahi hoti tirange ki hifazat ... desh bhakton ko apna khoon bahana padta hai
Dushman chahe jitna khatarnak kyun na ho ... Ravikumar jaisa dhurandar ho nahi sakta ... talaab chahe jitna gehra kyun na ho ... woh kabhi samundar ho nahi sakta
Zid pe aamada hamara humsafar hai ... aas paas gundey, goliyan, gutter hai ... dil unke aage surrender hai ... jeena us hi ke saath umar bhar hai
Kavi mann ke meet anek, phool panchi prakriti samet, woh har kisi ko apnata hai ... sangat ka woh swarthi nahi joh har mehfil ko sajata hai
Kal kare so aaj kar ... aaj kare so ab ... pal mein pralay hogi ... bahuri karoge kab
Jiska koi nahi hota uska yorker hota hai ... iske samne malik bhi naukar hota hai
Amitabh Bachchan
Dilon ki baatein dilon ke andar zara si zid se dabbi hui hai ... main sun'na chahun zubaan se sab kuch ... woh karna chahe nazar se battiya
Mandira Bedi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory