Na maal tera, na maal mera ... yeh maal hai bas maal-e-ganimat ... badhe buzurgon ne sach kaha hai ... maang mat, maang mat, maang mat
Satyendra Kapoor
Yeh husn Allah Allah, nazar tauba tauba ... ki ek hi jhalak mein khudai bhula di ... haseeno ne loota hum mein ... aur humne haseeno pe sari jawani luta di
Unknown
Matwaali raftar qayamat, payal ki jhankar qayamat ... aaj qayamat se pehle hi, aa pahunchi sarkar qayamat
Vaada kiya tha yaar ne aayenge din dhale ... suraj khuda ke vaaste ho ja tale tale
Shashi Kapoor
Door se main aap nazar aata hoon ... zara paas aa jaon toh baap nazar aata hoon ... aur bhi paas aa jaon toh phir potato chaap nazar aata hoon ... aur agar bilkul paas aa jaon toh phir chup-chap nazar aata hoon
Om Prakash
Yeh ghadi sanam tere bina katti nahi ... tere chehre se meri nazar hatti nahi
Twinkle Khanna
Rehmat-e-khuda ki jis par ho barasti ... uski kya mitta sakega koi hasti
Naseeruddin Shah
Yeh na thi hamari kismat ki visaal-e-yaar hota ... aur jeete rehte bas yahi intezaar hota
Mujhe meri talwar do aur meri dhaal do ... aur iska mooh kala karke isse yahan se nikaal do
Pagal premi ko yaad karna teri bhool hogi ... uske aane ki umeed phisool hogi
Rajesh Puri
Aap kare aaram hum kare vishram ... aam ke aam guthliyon ke daam
Amitabh Bachchan
Chahe juda ho dono ke jahan, phir bhi judi hai dekho taqdeerein ... pyar ki koi sarhad na zubaan, pyar na maane koi zanjeerein
Vijay Maurya
Kya khoob pehghaam aapne hai pesh kiya ... hatheli ka hai mail daulat, kya liya aur kya diya
Sameer Dattani
South Indian se south Indian mile, kar kar lambe haath ... mera band baja diya, patang de di kisi aur ke haath
Chale the zamaane se mooh pherkar ... yaka-yak tera saamna ho gaya
Dharmendra
Woh mooch hi kya jisse phera na jaye ... aur woh husn hi kya jisse cheda na jaye
Tej Sapru
Na umeed hai, na sharaab hai ... soorat-e-haal kaafi kharab hai
Kanwaljit Singh
Anyay joh kare aur anyay joh sahe ... tumhari grihna usse ghaas ki tarah tahe
Kaun kehta hai ki main nahi chakhi, kaun jhoothi kasam khata hai ... mehkade se joh bach nikalta hai, teri aankhon mein doob jaata hai
Unke dekhe se joh aati hai chehre pe raunak ... woh samajhte hai beemar ka haal achcha hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory