Joh kuch bhi usne kiya ... maine apni life mein cut, copy, paste kiya ... bas farak itna hai udhar woh star bana aur main uska fan
Shahrukh Khan
Har insaan ne kabhi na kabhi, kisi na kisi se pyar kiya hai ... us hi pyar ke naam zindagi kurbaan
Himesh Reshammiya
Roshanara beti hai ek Musalman ki ... jisse pehchaan hai apne imaan ki ... pyar toh kya jaan tak loota doongi ... mujhe kasam hai apne Hindustan ki
Manisha Koirala
Life mein jab bhi kisi bhi cheez se dar lage ... toh uske samne khade ho jaao ... dar khud bahut darpok hota hai ... uski aankhon mein aankhen dalke dekho, darke bhaag jaata hai
Unknown
Zindagi ka asli shor uski khamoshiyon mein hi phassa hua milta hai kahin
Arjun Rampal
Meri zindagi mein sab ne mera istamaal kiya ... pyar sirf tumne kiya
Ranveer Singh
Jab jab adharm ka sar uthta hai ... tab tab dharm devta ka paon usse kuchal deta hai ... jab jab Ravan pehda hota hai ... Ram ko janam lena hi padta hai ... jab bhi Kaurav atyachar karenge ... Pandav unhe nasht kar denge ... yahi yudh dharm hai, yahi jeevan karam hai
Sanjeev Kumar
Ek baar insaan pehda ho jaaye, uski umar sirf ghatti hai ... badhti nahi
Amitabh Bachchan
Zindagi ki har baat sirf sach yah jhoot nahin hoti
Jab ek ghar mein ek bacha padh leta hai na ... toh us ghar ka, us pariwar ka, maata pita ka, aane wali saat pushton ka ... sabka life hamesha ke liye badal jaata hai
School ke bahar jab zindagi imtihaan leti hai ... toh subject wise nahi leti
Rani Mukherjee
Apna ussool kehta hai ... jab dushman ki umar badh jaaye toh usse dosti karlo ... apni umar badh jaati hai
Danny Denzongpa
Tumne mujhe zindagi ke woh haseen khwab kyun dikhaye ... jiske tootne par mere andhar ka insaan hi toot gaya
Sunil Shetty
Jab zindagi ki gaadi ishq ke platform par jaakar atak jaye ... toh uss gaadi mein thoda sa shaadi ka petrol dal dena chahiye ... toh gaadi aage badh jati hai
Kader Khan
Pyar mein jab tak maut se na khelo ... milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
Yeh apun ka style hai kya ... jiyo toh seena taan ke jiyo ... maro toh seena taan ke maro
Maut toh muft mein badnaam hai ... jaan toh zindagi leti hai
Ajay Devgan
Sabhi marte hai ... lekin sawal yeh hai ki aadmi jeeta kaise hai
Padmini Kolhapure
Meri subahon ko roshni dedo ... meri shaamon ko chandni dedo ... mujhko tum meri zindagi dedo
Priya Rajvansh
Agar zindagi mein kuch paana chahti ho, toh kuch khona seekho ... agar upar uthna chahti ho, toh thoda jhukna seekho ... agar kisi se jeetna chahti ho, toh usse haarna seekho
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory