Aatma gandi hone se aadmi ke chehre par bhi laanat baratne lagti hai
Unknown
Insaan burai chahe khud kare ya kisi ke kehne par kare ... magar burai, burai hi rehti hai
Vishvas, dharam, sanskar ke mamle hi badhe nazuk hote hai ... insaan ki bhavnaon se khelna koi mazaak nahi hai
Hum logon se yunhi nahi milte ... hum unhi se milte hai jinse hum mein milna hota hai
Ashmit Patel
Jab koi ladki jala di jaati hai us waqt mera mann karta hai ki ... is samaaj ko purane akhbaar ki tarah raddi ki tokri mein daal doon
Dil woh aaina hai jiski keemat tootne ke baad badhti hai
Dhaal se chuka bandar aur baat se chuka aadmi ... kabhi bharose ke kabil nahi hote
Kiran Kumar
Samundar ko reghistan mein badalna aur inquilab ki samadhi banana ... kisi ke bas mein nahi hai
Shatrughan Sinha
Hamari jebon mein bhale hi daulat ki garmi na ho ... lekin hamare khoon mein bahut garmi hai, bahut jaan hai is mein ... tum logon ki tarah aircondition kamron mein bahetkar hamara khoon jam nahi gaya
Jeetendra
Tum aur hum kachre ke dher se uthne waali woh badbu hai ... jisko zamane ki naak kabhi seh nahi sakti ... aur kachra chahe kitna bhi saaf ho jaye usse badbu hi uthti hai
Sadashiv Amrapurkar
Kothe ki dehleez par aag hoti hai ... us par pair rakhte hi ladki ki izzat jal jaati hai ... aur woh izzatdar se tawaif ban jaati hai
Kader Khan
Beete dino ki yaad ka sahara toh tab liya jaata hai ... jab sirf yaadein hi reh gayi ho
Naseeruddin Shah
Aap toh apni saaf sutri balcony mein se neeche gandi naali mein sirf thookna jaante hai ... par us naali mein pal rahe kisi laawaris ko apne barabar bithana jaante hai?
Akshaye Khanna
Ramp ka seedha rasta 35mm ke parde tak jaata hai
Journalist mar sakta hai ... journalism nahi
Ayub Khan
Ek hi chhat ke neeche ek saath rehne waale alag ho sakte hai ... lekin ek hi ghar mein alag alag rehne waale kabhi ek saath nahi ho sakte
Anupam Kher
Aankhon se ojhal hone ka dukh toh aadmi sehan kar sakta hai ... kyun ki us mein jeevan ki ek dhara behti rehti hai ... lekin jeevan jab mrityu ka roop dharan kar leta hai ... toh sari ashaon ka anth ho jaata hai
Rohini Hattangadi
Mitti jab jalti hai toh uska asar sirf fasal par hi nahi ... aane waali sari nasal par asar hota hai
Woh bank is duniya mein nahi bana joh pyar ki keemat ka cheque cash kara sake
Sonam
Pyar ki taqat mitti ko sona bana deti hai ... jisse duniya ki koi taqat mitta nahi sakti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory