Tum is samaaj ke liye sivah maut aur andhere ke kuch nahi ho
Amitabh Bachchan
Kitna bhi bhaago, apni maut se nahi bhaag sakte ... aur tumhari maut mere haathon likhi hai
Mera dharm hai aapki maut
Aaj ke baad tu hi nahi ... uski maut bhi usse talash karegi
Kehte hai maut sabko juda kar deti hai ... lekin yehi maut kuch logon ko mila bhi deti hai ... hamesha ke liye
Nutan Behl
Apne aap ko dokha dekar, jhooth, dikhava, in sabke sahare jeene se kahin acha hai mar jaana ... us sach ko apna kar joh mann ka sach hai
Prem mein mrityu hai, mukti nahi
Unknown
Marne ka khauff zindagi jeene ki chahat se pehda hota hai ... par jeet'ta toh wohi hai na joh kisi bhi waqt marne ko taiyaar ho
Divya Khossla
Jab ghar mein koi marta hai na, toh woh akela nahi marta ... uske saath uski umeedein, uske sapne, uska pariwar, sab mar jaata hai
Death before dishonour ... service before self ... India first
Ashutosh Rana
Ab aap mujhe disbar kijiye, phansi pe chadaiye, ya goli maar dijiye ... par ek baat meri dhyaan se sun lijiyega ... get the f*ck out of my country
Akshay Kumar
Joh Ravikumar se ulajhta hai uski photo pe haar latakta hai
Himesh Reshammiya
Pyar badi harami cheez hoti hai ... kisi ke marne ki wajah hi nahi ... maarne ka maqsad bhi dhoond hi leti hai
Manish Chaudhary
Main sirf teri jaan lena nahi chahta ... main yeh chahta hoon ki tu tadap tadapkar mare ... guzarne waala har pal tujhse kahe ki yamdoot tere peeche peeche aa rahe hai
Rajeev Verma
Jab tarazu mein paise ka palhada halka ho jaata hai ... tab maut ka palhada bhari ho jaata hai
Kiran Kumar
Agar koi bhi aadmi vote dene gaya toh woh hamara gunahghar hoga ... aur uski sazaa maut hogi
Mukesh Rishi
Aankhon se ojhal hone ka dukh toh aadmi sehan kar sakta hai ... kyun ki us mein jeevan ki ek dhara behti rehti hai ... lekin jeevan jab mrityu ka roop dharan kar leta hai ... toh sari ashaon ka anth ho jaata hai
Rohini Hattangadi
Jin haathon se tune mere bhai ka khoon bahaya hai ... un haathon ka woh hashar karoonga ki zindagi bhar un haathon ko phailakar maut ki bheek maangti rahegi ... aur maut tere kareeb aane se inkaar karegi
Kader Khan
Jab tak main uska khoon nahi kar loonga ... na mujhe neend aayegi, na mujhe maut aayegi
Dharmendra
Main maut ke darr ko jeb mein rakhkar jeeti hoon ... aur chahati hoon ki koi jeb kaat le taaki yeh darr bhi nikal jaye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory