Zehar ke asardaar hone se kya farak padta hai ... maut aane ke liye khuda ki marzi bhi shamil honi chahiye
Himesh Reshammiya
Sudhar ja nahi toh guzar jayega
Ek din sabko marna hai ... nahi marta toh do cheez ... life aur death
Unknown
Jaan lene se laash pe kabza jamaya ja sakta hai ... dil pe nahi
Sangeeta Bijlani
Teri har saans ke peeche maut bankar khada hoon main
Sunil Shetty
Teri maut tujhse utni hi door hai ... jitni door main tujhse hoon
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Kahi bar marna aasaan malum hota hai aur jeena mushkil
Nutan Behl
Rajput ladki apne pyar ko keemti heeron ki tarah dil ki tijori mein band karke rakhti hai ... aur upar laga rehta hai sharam ka fauladi taala ... joh kabhi tootta hai toh sirf maut ke hathodon se tootta hai
Hema Malini
Yeh maut bhi kitni ajeeb cheez hai ... insaan usse mehsoos karte hi, zindagi ke aanchal mein chanchal balak ki tarah tadapne lagta hai
Rekha
Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai ... ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai ... joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai ... woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
Mar gaye toh mar gaye, iski hum mein chinta nahi ... jaan jaane ki jaaye, maut aane ki aaye
Saare devtaon mein yamraj hi ek aaisa devta hai jiske naam ke baad bhi kuch nahi lagaya jaata ... na ji, na babu ... aur na hi uske naam ke pehle shri lagaya jaata hai ... kyun ki yamraj apne aap mein ek poora naam hai ... yamraj sirf yamraj hai
Gulshan Grover
Izzat ke bagair insaan ka jeevan, mrityu samaan hai
Dharmendra
Agar apni maut se bachna chahte ho toh chup chap chale jao yahan se ... varna aaisi maut maroge joh tumne kabhi sochi bhi nahi hogi
Bikke huye logon ki zindagi aur maut ... khareedne waalon ke haathon mein hoti hai
Mangal ka rasta joh rokta hai ... Mangal uske liye maut ka darwaza khol deta hai
Mithun Chakraborty
Main tumhe ek saath kahi mautein doonga
Danny Denzongpa
Ek aurat ko janam se lekar maut tak doosron ke faislon pe jeena padta hai
Aruna Irani
Jis din nazar aaoge na ... us din tumhari zindagi ko sametkar maut ki chaadar mein lapet doonga
Kiran Kumar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory