Aadmi har darr se bhaag sakta hai ... lekin apne aap se nahi
Malik ne hamari mitti kuch special kisam ki banai hai ... ki jis saanche mein dalo wohi roop dharan kar leta hai ... agar tange mein behta do toh tangewaala ban jata hoon, agar hawaijahaz mein behta do toh pilot ban jata hoon ... masjid mein mulla, mandir mein pandit ... aur agar dil mein behta do toh dilwaala
Aap aadmi bhale baade hain ... lekin insaan bahut chote hain
Dil hi toh ek aisi cheez hai insaan ke paas jiska sauda nahi kiya ja sakta
Woh pyar hi kya joh faulaadi dil mein band ghut-ghutkar mar jaye ... pyar ko izhaar chahiye
Dard toh tab hota hai jab koi zakhm ke baare mein yaad kare ... bhool jao toh dard ka ehsaas bhi nahi hota
Bahar se dikhne mein toh hum jagmaga rahe hai ek deep ki tarah ... lekin andar se sirf ek jali hui kaali baati ki tarah hai
Na tera koi dharam hai, na tera koi karam hai ... tu bada besharam hai
Kabhi kabhi sambhalkar chalne mein bhi thokar lag hi jaati hai
Main janta hoon joh kuch bhi isne kiya usse koi maaf nahi kar sakta ... bhagwan bhi nahi ... lekin ek maa maaf kar sakti hai
Aaj hum joh kuch bhi hai na, yeh aap hi ke wajah se hai ... is liye jitna hum yeh charan thame rahenge na ... utna hi dharam aur badega
Maangne waala maangkar dene waale ko maan hi toh deta hai
Katega bhunega toh alu ... isse main khaon ya bhalu
Paapi pet ka sawaal do dhari talwar hota hai ... joh dono taraf kaatta hai
Main jis raaste se tumhari taraf aane ki koshish karta hoon ... tum us raaste ko mitta dena chahti ho ... tumhara yeh bartav sari duniya se kaatkar tumhe alag kar dega, bilkul alag ... na koi tumhari taraf aayega, aur na hi kal tum meri taraf aaneka raasta pehchaan sakogi
Pehle jab tum baat karti thi tumhari zubaan se shahad tapkata tha ... aur aaj tumhari zubaan ka shahad tumhari behen ki makkhiyon ne choos liya hai
Goli ke bagair pistol bekaar hai ... aur akal ke bagair dono bekaar hai
Yeh haath bada ziddi hai ... gardan pakad le toh dum nikaal ke chhodta hai ... aur haath pakad le toh apna ke chhodta
Khuda meherban toh gadha pehelwan ... sambhal meri jaan ... ek hi vaar mein dikhaon Hindustan
Har khoobsurat ladki pehle se hi apne aap par aashiq hoti hai ... jab koi ladka sahi tareeke se tareef karta hai, toh woh ussi par aashiq ho jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory