Jis tarah kuch aadmiyo ki kamzori baimaani hoti hai ... is hi tarah kuch aadmiyo ki kamzori imaandari hoti hai
Ajit Khan
Prithviraj Raghuvanshi satya ko Ram Ram kare hai ... par jhoote ka Ram naam satya kare hai
Ajay Devgan
Jhoot aksar bahut aasani se gaale se neeche utar jaata hai ... sach ko nighalna bahut kathin hai
Unknown
Jab bhook lagti hai na toh pet yeh nahin poochta ... ki yeh roti imaandari ki hai ya baimaani ki
Sanjay Dutt
Jhoot ki deewarein imaandari ki thokar par ret ka dher ban jayengi
Sunny Deol
Bas yahi toh hamare naye samaaj ka kamaal hai ... joh chor ho, doosron ke jeb kaatte hai, public ki aankhon mein dhool daalte hai, mere jaisa patla suit pant pehente hai ... unhe hum sharif samajhte hai ... aur joh imandaari se, mehnat mazdoori karke pet paalte hai, phate purane kapde pehente hai ... unhe chor daaku awaara samajhkar dhar liya jaata hai
Raj Kapoor
Jhoota gale se gaata hai, bhooka pet se gaata hai ... lekin sachcha dil se gaata hai
Vikram Gokhale
Sher Khan kaale ka dhanda karta hai ... lekin imaandari se
Pran
Woh toh meri saanson mein hai, meri dhadkanon mein hai, meri aankhon mein hai, mere khwabon mein hai ... sach toh yeh hai ke mera dil unke paas hai aur unka dil mere paas
Sushmita Sen
Sher Khan baimaani ka dhanda bhi imaandari se karta hai
Main is jhoot ko itne bade sach mein badal doonga ... ki woh sach ke sivah aur kuch nahi rahega
Rajesh Khanna
Jab tak sach joote pehenta hai ... jhooth poore duniya ka chakkar lagake aa jaata hai
Jis tarah jhoot jhoot chilakar sach ko jhoot nahi banaya ja sakta ... us hi tarah sach sach chilakar jhoot ko sach nahi banaya ja sakta
Sanjeev Kumar
Agar jhooti kahaniyon ko sache mann se kaho na ... toh sachi lagti hai
Paisa hi sach hai
Manoj Joshi
Main juttha toh kutte ka jaana ... aur sachcha toh teri maa ka khasam ... bhenchod!
Saif Ali Khan
Aap apne vishvas ko satya samajhte hai ... aur main sirf satya pe vishvas rakhta hoon
Shiney Ahuja
Insaan joh nahi hai wohi dikhane ka dhong karta hai ... joh shareef nahi hai woh sharafat ka dhong karta hai ... buzdil bahadur hone ka dhong karta hai ... dil mein lalach hota hai aur zabaan se mohabbat ka dhong karta hai ... aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh zabaan se anjaanepan ka dhong karta hai
Rekha
Mere har jhoot ki niyat sachi hai
Priyanka Chopra
Mere bayaan ka ek ek lafz ... Gita aur Ramayan ki tarah pavitra aur sach hai ... aur sach ke sivah kuch nahi hai
Amrish Puri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory