Kaash ... kaash main tumhari jagah pe hota ... kaash
Shahrukh Khan
Agar kisi cheez ki lat padh jaye ... toh woh lat aadmi ki pehchaan ban jaati hai
Randeep Hooda
Kisi ne kabhi aapko suddenly chaata mara hai ... phaat ... us chaante ko ishq kehte hai ... aur woh chaanta aur zor se padta hai jab koi teesra aa jaata hai
Ranbir Kapoor
Galat tareeke se sahi kaam mujhe karna aata hai
Sanjay Dutt
Uske aansoon rokne le liye main maar sakta hoon ... aur mar bhi sakta hoon
Harshvardhan Rane
Jab ek ladki ko khuli aankhon se sapne dikhne lagte hai na ... toh phir uski duniya badal jaati hai
Anushka Sharma
Mehnat se sirf ghar bante hai ... sapno ke mahal nahi
Akshay Kumar
Aaj ek baad mujhe apna chehra mat dikhana ... jaan le loonga
Khaash ke tumne hum mein aawaaz di hoti ... toh hum maut ki neend se uthkar chale aate
Raaj Kumar
Tumhari baat ka jawaab de diya ... toh tumhara sawaal bura maan jayega
Emraan Hashmi
Maine tumhe maa ke kadmo ke neeche swarg dhoondne ka paath padaya ... aur tum tawaif ke kadmo ke neeche nark dhoondne chale aaye ho
Alok Nath
Na kisi ne lori gaakar sulaya hai ... na kisi ne maatha chumkar uthaya hai
Unknown
Don ka intezaar toh gyarah mulkon ki police kar rahi hai
Amitabh Bachchan
Toh kya hua agar maine jhoot sirf tumhe paane ke liye kaha tha ... toh kya hua agar tumhare chehre ke sivah mujhe koi aur chehra dikhai nahi deta ... toh kya hua agar tumhare naam ke sivah mujhe koi aur naam yaad nahi rehta ... toh kya hua agar yeh awara tumhe deewano ki tarah pyar karta hai ... toh kya hua ... pyar sab kuch toh nahi hota na
Tere liye yeh kehna bahut mushkil hai ... ki tu zyada gira hua baap hai ... ya zyada gira hua insaan
Bobby Deol
Hum sainkadon janam lete hai ... kabhi pati patni bankar, kabhi premi bankar, toh kabhi anjaane bankar ... lekin milte zaroor hai aakhir mein ... nahi milenge toh kahani khatam kaise hogi ... isse pyar kehte hai
Rishi Kapoor
Yahi toh kiya hai tum jaise mardon ne hum jaisi auraton ke saath ... kabhi kook mein hi maar dala toh kabhi pehda hote hi ... yeh kaisi ajeeb parampara hai tum logon ki ... sab kuch tumhare naam ka ... maang meri sindoor tumhare naam ka, gala mera mangalsutra tumhare naam ka, kalai meri chudiyan tumhare naam ki ... yahan tak ki kook meri, khoon mera, doodh mera aur bacha tumhare naam ka ... sab kuch tumhare naam ka ... phir yeh batao aakhir tumhare paas kya hai mere naam ka?
Vidya Balan
Akad ki bhi aukaad hoti hai
Varun Dhawan
Mohabbat aur sangeet ka bahut gehra rishta hai ... kyun ki dono ka janam dil se hota hai ... aur dono ki kismat bhi dil ke kehne par nirbhar hai
Hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Sunny Deol
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory