Sirf talent kafi nahi hota ... talent ko sahi jagah par istamaal karna janana chahiye
Mohnish Behl
Success kabhi kisi ke saath zyada der tak nahi rehti
Unknown
Mere haath kaanp sakte hai ... lekin mera mann atal hai
Amitabh Bachchan
Zaalim ka zulm jaan le sakta hai ... lekin haq ki awaaz ko nahi daba sakta
Pran
Kitni oonchi baat kahi hai aapne ... mann pavitra ho gaya
Shankar patthar ko nahi dil ko poojhta hai ... aur dil kabhi patthar ka nahi hota
Jisse main insaan ka bachcha samajhkar bees saal tak palta raha ... woh aasteen ka saanp nikla
Amrish Puri
Meri aadat hai, main jis cheez ko ek baar pasand karta hoon ... usse yah toh paa leta hoon ... yah usse is layak nahi chhodta ki woh kisi aur ke layak rahe
Gulshan Grover
Tu bahut door nikal chuka hai ... itni door jahan meri humdardi tujh tak nahi pahunch sakti ... lekin mera farz tujh tak zaroor pahunch sakta hai
Sunil Shetty
Mere pooch-taach ka dang bahut alag hota hai
Joh farz ki sooli par tanga hota hai ... woh keel ke dard se nahi rota
Mithun Chakraborty
Who din toh meri atma par ek taaza zakhm ki tarah zinda hai
Joh bhi Thakur ko intezaar karne ko kehta hai ... woh uski zindagi ki ghadi bandh kar deta hai
Paintal
Hamare yahan toh yamdoot bhi hamari ijaazat ke bina nahi aa sakta
Doobi hui kashti se kinara poochte ho, bete?
Dina Pathak
Main toh apne us dafnaaye huye kal ko kabr se wapas nikaalne ja raha hoon
Ek insaan ko koi haq nahi ki doosre insaan ko sazaa de ... yeh ishwar ka kaam hai
Satyendra Kapoor
Bhagwan sab kuch maaf kar sakta hai ... lekin ghamand maaf nahi kar sakta
Jeetendra
Kal ke baad is mulk ke nasal ki ragoon mein khoon nahin ... hamara becha hua zehar daudega
Naseeruddin Shah
Tumne apna raasta aur pesha bhale hi badal liya ho ... main ab bhi usse raaste par chal raha hoon aur mera pesha bhi wahi hai
Suresh Oberoi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory