Zameen aasman ek karloge tab bhi tumne maut se koi nahi bacha sakta ... kyun ki Diwan ke aankh mein jab khoon utarta hai ... toh usse sirf khoon dikhai deta hai
Sabse pehle apni akad aur apni zid ki jhadon ko aag laga ... varna dukhon ke aaise badal mandrayenge ... ke is ghar mein aasoonyon ke sailaab aa jayenge
Yahan gaddari ki sazaa sirf maut hoti hai ... maut
Duniya mein joh aadmi jitna zyada chanda deta hai ... log usse utna hi sharif aur imaandar samajhte hai
Baadalo aur insaan ki saanso ka kya bharosa ... baadal kabhi bhi baras sakte hai ... saans kabhi bhi toot sakti hai
Tumhare aur hamare beech sirf ek hi cheez ka batwara ho sakta hai ... aur woh hai tumhare hisse ki maut
Kal jab suraj doobega toh sirf aasman hi nahi ... hamare dushmano ke khoon se dharti bhi laal ho jayegi
Chinta aur chitta mein sirf ek bindu ka farak hai
Jis tarah reghistaan mein pyasa, ek ek boond pani ke liye tadap tadapkar apna dum todhta hai ... ussi tarah Fateh Khan hamare inteqam se tadap tadapkar apni ek ek saans todega
Aan ke samne jaan ki keemat kuch bhi nahi
Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai ... pahad khodkar chuha nikaal leta hai ... kabar khodkar murda nikaal leta hai ... aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
Joh hamari jaan ka dushman na ho ... hum uski jaan nahin lete
Aurat maa ban sakti hai, behan ban sakti hai, biwi ban sakti hai ... lekin dost kabhi nahi ... aur jab woh dost ban jaati hai toh badi khatarnak hoti hai
Kisse, kab aur kaise ... is jahan se doosre jahan mein bhejna hai ... is baat ka faisla main karta hoon
Main tumhara woh hashar karoonga ... ki nazar milane ki toh kya ... nazar churane ke bhi kabil nahi rahoge
Jab doosra koi kaam kar raha ho toh beech mein dhakal dena badtameezi hoti hai
Business mein main dosti nahi paala karta
Khaki vardi agar kanoon ka danda hai toh kala coat kanoon ka haath hai ... aur hamesha danda haath ke giraft mein hota hai
Tumne apne paon se utni dhool nahi udhayi hogi ... jitni daulat hum apne haathon se udha chuke hai
Meri fitrat hai goongo se bulvana, bhairon ko sunane ke liye majboor kar dena aur jhooton ki zubaan se sach ughalvana
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory