Apna ussool kehta hai ... har galati ki saza maut hai ... sirf maut!
Tere shareer ke haddiyo ke itne tukde karoonga ... ki teri aane waali nasal tak is dard ko mehsoos karegi
Main sirf do kisam ke insaanon ko pehchaanta hoon ... ek dost aur doosra dushman
Gambling mein bharosa nahi ... luck chalta hai
Maut aur badnaseebi do hi aisi cheezein hai ... joh bagair khabar kiye aate hai
Hum tumhe aaise jalayenge ... ke tere chahne waalo ko Ganga mein bahane ke liye teri raakh bhi naseeb nahi hogi
Sher ko jungle se pakad kar pinjare mein bandh kar diya hai ... magar sher toh pinjare mein bhi ghaas nahin khata
Apna ussool kehta hai ... daayen haath se jurm karo ... baayen haath ko pata bhi na chale
Maut apna raasta nahi badalti ... joh bhi uske raaste mein aata hai, chala jaata hai
Aag, pani aur Bhaiji ke saath nahi khelna ... aag jalata hai, pani doobata hai aur Bhaiji tadpata hai
Jiski nasson mein imaandari ka khoon daud raha ho ... jiska dil desh ke liye dhadakta ho ... uska josh kabhi thanda nahi padh sakta
Badle ke aag mein jalti hui naari aur chot khai hui nagin ... dono ek samaan hoti hai
Mujhse dosti karoge toh uski poori keemat milegi tumhe ... aur agar dushmani karoge toh uski keemat chukani padegi
Jab main tujhe maaronga ... toh teri awaaz ki goonj sare shehar ko sunai degi
Mera naam hai Mahakaal ... Kali ka pujari hoon main ... libaz bhi kaala, dhanda bhi kaala aur dushmanon ko joh kafan pehnata hoon uska rang bhi kaala
Rishte sirf teen hote hai ... ek roti ka bhook se, doosra dosti ka dushmani se aur teesra zindagi ka maut se
Ek baar aasman se giri hui bijliyan vapas laut sakti hai ... toofan apna rukh badal sakta hai ... lekin is Sher Khan ka faisla kabhi nahi badal sakta
Dil ke zakhm, dawao se nahi bharte
Mubarak ho sabko saman yeh suhana ... main khush hoon mere aasunyon pe na jaana ... main toh deewana, deewana, deewana
Bholenath ki teesri aankh hai hum ... aur jab yeh aankh khulti hai toh zindagi maut mein badal jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory