Yeh sach hai ki calendar har tareek ko badalta hai ... lekin ek tareek aisi bhi aati hai joh calendar ko hi badal deti hai
Slumdog ka pata nahi ... lekin yeh kisi millionaire ka ghar lagta hai
Jeene ka maqsad jab badla hota hai ... toh badla le lene ke baad jeene ka maqsad khatam ho jaata hai
Jail jaana meri kismat mein nahi hai
Jako rakhe saiyan maar sake na koi ... par joh maare satya vaste uske sang saiyan hoye
Jis umar mein aapko haqeemo ke saath hona chahiye ... us umar mein haseeno ke saath ... not good
Ab tujhe aisi maut maroonga ... ki tu is janam mein jalega ... lekin dard agle janam tak chalega
Jab iraada marne maarne ka ho ... toh fikar nahi, taiyaari karte hai
Dost nahi badalte ... waqt badal jaata hai
Only shak ... no f*ck!
Bhai muh-bola ho ya sagaa ... apun ke pyar ke beech aaya toh beech se hi cheer dalega
Dhokhe ki khaasiyat hai ... ki dene wala aksar koi khaas hi hota hai
Ghunghat mein ho ya burkhe mein ... is desh mein aurat ko devi maante hai ... aur joh devi ki izzat utaare ... usse hum sare aam maarte hai
Time badal chuka hai ... aur desh bhi ... ab hum ghar mein ghuske maarte hai
Apna ghar bech de aur bina khidki wale kamre mein rehne ki aadat daal
Mera dimag mere jism ka ghulam ho gaya tha
Signal pe khada hawaldar sau rupaye mein meherban hai ... naam tumhara Khan toh aatankvadi poora khandan hai ... wahan apne hi ghar mein pankhe pe latak raha kisaan hai ... lekin mera desh mahaan hai
Ek shapath aapne li thi ... apni vardi, apne farz ke liye ... ek shapath maine li hai baba ... is medal ki khoyi hui izzat lautane ki ... jinhe khakhi pehenne ka haq nahi ... unhe khaak mein milane ki
Hum duniya ki nazaron mein girenge ya khare utrenge ... yeh pata nahi ... lekin itna yakeen hai ... ki hum khud apne aap se nazarein milake yeh keh payenge ... ki humne joh socha woh desh ke liye tha ... humne joh kiya woh desh ke liye hai ... aur humne joh paaya woh desh ka hoga
Bangkok waala character hoke Haridwar waala feel mat de
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory