Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Dharmendra

(Page 3 of 7)
# 41
Hamara yeh pesha shatranj ki bisat se kam nahi ... chote se chote mohre ko maarne ke liye hum mein dekhna padta hai ... ki uska vazir kaun hai, badshah kaun hai
Our business is nothing less than a chessboard ... where even to kill a small pawn we have to see ... who is his minister and who is his king
# 42
Kutte ki dum tedi ki tedi hi rehti hai
A dogs tail will never be straight
# 43
Main mafia ka woh pedh hi jadh se ukhaadkar phek doonga ... jiske saaye ke neeche jurm nanga-naach naach raha hai
I will uproot and throw away the tree of mafia ... under the shadow of which crime is dancing naked
# 44
Jitna dimaag tere paas hai na ... utna mera kharab rehta hai
The total quantity of brain that you have ... I usually lose that much quantity of my brain
# 45
Shuruvat hamesha majboori se hi hoti hai ... yeh majboori ahista ahista zaroorat ... aur zaroorat aadat ban jaati hai
The start always happens with a compulsion ... and this compulsion slowly slowly turns into necessity ... and necessity turns into a habit
# 46
Jhoot ke chehre par naqab nahi rukta
A mask doesn't stay on the face of a lie
# 47
Ab na woh zalim rahenge na zulm rahega ... na kanoon se khilwar karne waale woh gaddar rahenge ... ab sirf kanoon rahega
Now neither will those cruel people remain nor will their cruelty ... neither will the traitors remain who play with the law ... now only the law will remain
# 48
Goli ka jawab goli se denge aur loot ka jawab loot se
In reply we will give a bullet for a bullet and theft for a theft
# 49
Pyar ek panchi hai joh aasman ki bulandiyon tak udhna chahta hai ... magar insaan ke farz aur majbooriyan usse dharti se door nahi jaane deti
Love is a bird that wants to fly to the limits of the sky ... but the duty and constraints of humans don't let it go far away from the earth
# 50
Naari aur sangeet ka bahut kareeb rishta hai ... dono mein narmi hai, loch hai, lachak hai, dard hai, soz hai, tadap hai, khichav hai, kashish hai
A woman and music are closely connected ... they both have softness, flow, sway, pain, ardency, yearning, pull and attraction
# 51
Uparwaala bada dayalu hai ... jahan ek darwaza band karta hai, wahan sau darwaze khol deta hai
God is very generous ... where he closes one door, over there he opens a 100 doors
# 52
Apan dada hai gareebon mein fakeeri ka ... lafdebaazon mein vasooli ka ... dada logon mein dadagiri ka
I'm the boss of poverty for the poor people ... I'm the boss of recovery for the problematic people ... I'm the boss of rowdyism for the rowdy people
# 53
It's not the age ... it's the mileage!
It's not the age ... it's the mileage!
# 54
Aaise tadpa tadpakar maroonga ... ki maut bhi teri laash ko dekhkar kaanp uthegi
I will torture and kill you such that ... even death will get scared looking at your dead body
# 55
Bhagya ki rekhayein haathon mein nahi hoti ... insaan ke karamon mein hoti hai
The lines of destiny don't exists in the hands ... they exists in the deeds of a person
# 56
Jhoot ki raakh se sachai ki aag ko nahi bhujaya jaa sakta
The ash of lies can't extinguish the fire of truth
# 57
Is duniya mein dard bahut hai aur baatne waale haath bahut kam hai ... phir bhi aagaaz hai yeh jisse anjaam tak nibhana hai ... khoon hai jab tak ragon mein, har zulm ko mitana hai
There is a lot of pain in this world and very few hands that want to share that ... but still this is a start that we have to fulfil till its end ... until we have blood running in our veins, we have to erase every cruel act
# 58
Hindustan par hukumat ek afsar ki nahi, kisi minister ki nahi, in Jamaal Sen jaise darindo ki nahi ... Hindustan par hukumat hai in masoom bachchon ki, Hindustan par hukumat hai Hindustani awaam ki, Hindustan par hukumat hai hum Hindustaniyon ki
India is not ruled by an officer, a minister, not even devils like Jamaal Sen ... India is ruled by these innocent children, India is ruled by its people, India is ruled by Indians
# 59
Insaaniyat inteqam nahi ... insaaf chahti hai, aman chahti hai
Humanity doesn't want revenge ... it wants justice, it wants peace
# 60
Gussa insaan ka sabse bada dushman hai ... jisse gusse par kabu nahi, woh kisi cheez par kabu nahi rakh sakta ... gussa insaan ki akal ko kha jaata hai
Anger is the biggest enemy of a person ... the one who can't control his anger, he won't be able to control anything else ... anger eats the brain of a person
Copyright © FilmyQuotes.com