Aaj imaandaar woh hai jiski baimaani pakdi nahi gayi ... aur begunah woh hai jiska jurm pakda na gaya ho
Game ka simple rule hai bachu ... nakal mein hi akal hai
Galati toh hui thi mujhse ... par galati manne ki ek aur galati karne ka mood nahi tha
Mujhe sudhaarte sudhaarte ... sudhaarne waale bighad gaye
Sati Savitri ke door ke rishtey ki cousin
Arjun ko toh Krishna ki zaroorat hamesha padti hai ... lekin kabhi kabhi Krishna ko bhi Arjun ki zaroorat padti hai
Pichla karza chukane ke liye hi toh agla karza maang raha hoon main
Mujhe samajh mein nahi aa raha hai ki main apni kismat pe hasun ... ya tumhari taqdeer par roun
Zaroorat toh kabhi khatam nahi hoti ... mauke khatam ho jaate hai, sapne khatam ho jaate hai, yeh saali zindagi khatam ho jaati hai ... lekin zaroorat hi hai joh kabhi khatam nahi hoti
History uthake dekh lo, do cheezein hamesha common rahi hai ... mardon ka zamana raha hai ... auraton ne aake aafat ki hai
Jab confidence gir jaata hai na ... toh balance bhi bighad jaata hai
Fans halla bhi karte hai aur hawa tight bhi
Kabhi kabhi insaaf karne ke liye nainsaafi karni padti hai
Mil gaya mauka ... maar de chauka
Don't start anything you can't finish
Models sirf tasveeron mein hi achchi dikhti hai ... woh bhi agar maine kheechi ho toh
Yeh ratte maarne wala exam ka todh jiske paas nahi hota na ... usse society rishteydar wale nalayak kehte hai
Shahenshahon ke taqt aam aadmi ke kandhon pe hi khade hote hai
Koi bhi aadmi kisi aurat ka naam yaad rakhne ke liye ... uske saath raat nahi guzarta hai
Meri goli se bachne ke liye tujhe baar-baar khushkismat hona padega ... aur mujhe sirf ek baar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory