Yeh toh anyay hai, ghor anyay ... aur main har anyay ka virodh karunga
Zindagi badi ajeeb cheez hai ... kabhi kabhi kisi se pehli bar milne par aaisa lagta hai, na jaane kitne dino se jaan pehchan hai ... aur koi koi aaise bhi hote hai joh sari zindagi ek saath rehne par bhi anjaane lagte hai
Ishq ki duniya hoti hai mehboob ki ek nazar ... aur woh nazar zamane bhar ke husn se zyada haseen hoti hai
Dilon mein agar sachchai na hoti ... toh mohabbat mein deewangi nahi hoti
Zakhmi dil chain nahi paate ... jala karte hai
Jurm jitna sangeen hota hai ... usse chupane ke tareeke bhi utne hi khatarnak hote jaate hai
Aap hukum kijiye ... main uski gardan kaat kar aapki godh mein rakh doonga
Mat badhao apna haath meri taraf ... agar maine isse tham liya toh anarth ho jayega
Desh premee mara nahi karte ... amar ho jate hai
Aaj se main apna kanoon khud banaonga
Mujhe toh sirf apne aap se hi darr lagta hai
Sachai dimaag ka darwaza khat-khatati toh hai magar uski dastak sunai nahi deti
Jahan kanoon ke haath pahunchne mein der ho jaye ... wahan kanoon ki laat pahunch jaya karti hai
Ladies ko sharaab offer karne ka tarika yeh hai ... ki hurricane aaye, toofan aaye, bhuchal aaye lekin glass se ek boond sharaab bhi na chalke ... aur chalke toh kaide se chalke
Buzdilon ki goliyan Karan ka seena dekh kar apna rukh badal leti hai
Mooch ka baal nikla nahi, shuru ho gaya haram kaari karne
Aisa haath maroonga ke munh mein jitna asli daant hai woh toh bahar gir jayega ... doobara nakli daant bhi fit nahi hoga
Joh log apna pasina bahakar desh ka muqadar banate hai ... unke bachche toh rotiyon ke liye taraste hai ... aur tum log joh kursiyon par behetkar desh ke muqadar ka faisla karte ho ... apne aulad ki shaadiyon mein karodon rupai lutate ho ... kahan se aati hai daulat?
Ek baar jab rishtey kho jaate hai ... toh woh dhoondne se bhi nahi milte
Vishvas ek bahut hi nazuk sheesha hota hai ... ek baar toot jaye toh dobara judta nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory