Thu thu thu ... sharafat ki vardiyon mein kaise kaise baimaanon ne shareer apne chupa rakhe hai
Amjad Khan
Yahan aisi maa'en hai joh tum jaise beton ko janam deti hai ... joh hamesha sachai ke liye ladte hai ... haarte hai lekin rukte nahi ... chahe kuch bhi ho jaye, tootte nahi
Unknown
Adalat sachai ki jaanch partaal karti hai ... wahan dilon ki gawaiyan pesh nahi hoti
Wardaat ki location par mostly wohi dikhta hai joh criminal police ko dikhana chahta hai ... aur joh woh chupa deta hai woh sach hota hai
Bobby Deol
Sachai ki chaadar hamesha choti padh jaati hai ... sar dhako toh pair khul jaate hai aur pair dhako toh sar nanga
Sadashiv Amrapurkar
Ek laawaris ko roti ki bheek di jaati hai pyar ki nahi ... usse zillat milti hai lekin apni sachai ko badalne ka mauka nahi milta
Akshaye Khanna
Sachai aur burai ki jab bhi bhidant hui hai ... dum hamesha burai ne hi todha hai
Amrish Puri
Woh chahe phone par mujhe kitni hi dhamkiyan de ... mera aur mere pariwar ka khoon karde ... lekin main apni aakhri saans tak sachai ka khoon nahi hone doonga
Baimaani ke dhande mein imaandari se kaam nahi karne waalon ka anjaam bahut bhayanak hota hai
Kiran Kumar
Aaj ke yug mein sache insaan ki koi keemat nahi hai ... wafaadari ki koi keemat nahi hai ... imaandari ki koi keemat nahi hai
Mithun Chakraborty
Aapki kitni sachi paakh mohabbat hai ... arre sach kehte hai kehne waale, sach ko hamesha rahat hai
Satish Shah
Sach kabhi chupta nahi ... prakat ho hi jaata hai ... sirf kabhi kabhi bahut der laga deta hai
Maine tujhe joh izzat di, tune usse meri buzdilli samjha ... maine tujhe joh maan diya, tune uska bahut gumaan kiya ... lekin sach toh yeh hai ki tu kisi izzat ke layak hi nahi hai
Aruna Irani
Zindagi ek yudh shetra hai ... samne vijay ho ya parajay ... yodha ka dharm hai ladna aakhri saans tak, khoon ke aakhri katre tak ladna ... zindagi ka arth armaan ... satya aur insaaf ke liye satatya sangarsh karte rehna bas aur kuch nahi
Amitabh Bachchan
Sach joh kisi ki jaan lele ... usse kahin achcha hai woh jhoot joh kisi ko maut ke mooh se bacha le
Manoj Kumar
Sache insaan ko aag jala nahi sakti ... talwar kaat nahi sakti ... aur sache insaan ko zindagi ki takleefein rula nahi sakti
Sharafat ki chaddar oodne ke liye shareer nahin ... ek sharif atma chahiye
Rayees ho jaane se koi sharif nahin ho jaata
Raj Babbar
The truth is always simple
When you have eliminated the impossible ... whatever remains, however improbable ... must be the truth
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory