Insaan zubaan se toh jhooth bol leta hai, par dil sab sach bata deta hai
Jaideep Ahlawat
Kayi baar humein apno ki bhalayi ke liye unse sach chupana padta hai ... jhoot bolna padta hai ... par aisa jhoot life mein sau sach se bhi zyada sacha hota hai, kyun ki uski neeyat sachi hoti hai
Madhavan
Apne aap ko dokha dekar, jhooth, dikhava, in sabke sahare jeene se kahin acha hai mar jaana ... us sach ko apna kar joh mann ka sach hai
Nutan Behl
Sachai hamesha nangi hoti hai ... usko agar libaas pehna diya jaye toh banawat ban jaati hai
Vijay Anand
Duniya mein bahut sare tanashah aaye, taqatwar aaye, badshah aaye ... aur laga ki ab kuch nahi hoga ... lekin anth mein jeet hamesha ahinsa aur satya ki huyi thi
Anupam Kher
Cash ke maamle mein tajurbe se zyada imaandari ki zaroorat hoti hai
Rajendra Kumar
Agli baar kirdaar imaandar rakhna ... janazah shandaar niklega
Sonu Sood
Sachai kehne wale ki zubaan lambi nahi hoti hai ... tezz hoti hai ... kyun ki iski haqeeqat dil par teer ki tarah chub jaati hai
Karisma Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory