Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Anupam Kher

(Page 5 of 7)
# 81
Mohabbat ki nahi jaati ... karayi bhi nahi jaati ... mohabbat toh bas khud ba khud ho jaati hai
Love is not something that is done ... it's not something that can be got done ... love simply happens by itself
# 82
Mard ki fitrat bahut ajeeb hoti hai ... behta hai toh dariya ki tarah behta hai ... lekin jab rang badalta hai toh kinaro ke saath baaki ki zameen bhi bahakar le jaata hai
The nature of men is very strange ... when he flows he flows like a river ... but when he changes his colour then along with the shores he also takes with him the rest of the land
# 83
Jab koi dushman dushmani ka chola pehenkar samne aata hai toh pehchana jaata hai ... lekin jab koi dushman apno ka chola pehenkar samne aata hai toh badhe badhe dokha khakar reh jaate hai
When an enemy comes forward wearing the dress of an enemy then you can recognize him ... but when an enemy comes forward wearing the dress of one of your own then even the best of the best get tricked
# 84
Mera beta TV ke daily soap ki tarah hai ... har din dukh, dard aur taqleef ki guarantee
My son is like the daily TV soap ... he guarantees sorrow, pain and distress everyday
# 85
Is impossible pyar ko possible sirf tum hi bana sakte ho aur koi nahi
This impossible love story can only be made possible by you and no one else
# 86
Tumne ek hi raat mein ek awara ladki ki tarah ... apne khandan ki izzat, gairat, sharm aur sharafat ko havas ki chakki mein pees dala
Just like a cheap girl in one night itself ... you have squashed the respect, honour, shame and honesty of your family in the mill of lust
# 87
Agar aurat na hoti ... toh saare mard rishi hote, gyani hote
If women didn't exists ... then all men would have been knowledgeable saints
# 88
Galati doosro mein dhoonde ke bajai agar khud mein dhoondogi ... toh galat fehmi yoon door ho jayegi
If you look for the mistake inside you and not in others ... then your misunderstanding will go right away
# 89
Shartein business mein hoti hai ... ghar grihasti mein nahi
Conditions are placed in business ... not in household matters
# 90
Jiske khud ke pyjama mein naada nahi hota ... woh doosre ke pyjama mein naada nahi daalta
One who does not have a string in his pajama ... he should not put a string in someone else's pajama
# 91
Apne mooh ki kamaan se shabdon ke tootte huye teer mat choda kar
Don't fire the broken arrow of words from the bow of your mouth
# 92
Main dadaon ka dada hoon aur gundo ka gunda hoon ... yeh sansar meri dharti aur main iska jhanda hoon
I am the biggest goon and big daddy ... this universe is my land and I am it's flag
# 93
Power ka ek hi center hota hai ... aur woh center hota hai party president
Power has only one center ... and that center is the president of a political party
# 94
Aag petrol ko nahi chhodti ... nevla saanp ko nahi chhodta ... aur jab main paison ka hisaab jodhta hoon toh main apne baap ko nahi chhodta
Fire doesn't leave petrol alone ... a mongoose doesn't leave a snake alone ... and when I account for my money then I don't even leave my father alone
# 95
Joh main dikhai deta hoon woh main nahi hoon ... aur joh hoon woh dikhai nahi deta
I am not what I look like ... and what I am that can't be seen
# 96
Tumhare haathon ke upar aur haath hai ... aur un haathon ke upar aur kahi haath hai ... aur in sab haathon ki dor mere haath mein hai
There are hands above your hands ... and there are many more hands above those hands ... and the string of all those hands is in my hand
# 97
Yeh thappad tune mujhe nahi apni naukri ke mooh par maara hai ... apne khandan ke ek ek aadmi ki khushiyon par maara hai ... apni zindagi par maara hai
You did not slap me but instead you've slapped your job ... you've slapped the happiness of each and every member of your family ... you've slapped your life
# 98
Zindagi mein kuch cheezein haasil karne ke liye sahi ya galat dekh ke nahi ki jaati ... balki waqt aur halaat dekh ke ki jaati hai
In life to achieve certain things you don't look to see if it's right or wrong ... instead you look to see the time and the situation
# 99
Vishwasghaat sabse bada gunaah hota hai ... ek aaisa gunaah joh maafi ke layak nahi
Betrayal is the biggest crime ... a crime that cannot be forgiven
# 100
Yeh jhoot hai judge sahab, sarasar jhoot hai ... meri statement har lafz utna hi sacha hai jitna Mahabharat aur Ramayan mein likha har lafz ... meri statement utni hi sachi aur paakh hai jitni ki meri jism par yeh vardi
Mr. Judge, this is a lie and nothing but a lie ... every word of my statement is as true as every word written in the Mahabharata and the Ramayana ... my statement is as true and pure as the uniform on my body
Copyright © FilmyQuotes.com