Galat ko galat na kehna ... sabse badi galati hai
Agar ek kadam bhi badaya ... toh doosra kadam zameen pe rakhne se pehle hi hawa mein kaat di jayega
Is generation ke paas sawal bahut hai ... jawab koi nahi
Ek baar, sirf ek baar unke chehre mere samne saaf ho jaye ... main unka woh hashar karoonga ki woh duayen maangenge zindagi ke liye nahi ... maut ke liye
Ab tak tera muqabla buzdilon se hua hai ... jab samna is mard se hoga na ... toh teri yeh sher banne ki galatphami door ho jayegi
Paap ka ghinauna rang main teri aankhon mein dekh raha hoon ... yeh rang maut ka elaan hai ... tu hi nahi, tujh jaise har paapi ka anth ab bahut hi nazdeek hai
Cooking is spiritual ... ek achcha cook banne ke liye, achche dil ka hona bahut zaroori hai
Ek bhi goli chali ... toh jaan kisi ki bhi jaye ... maare tum log jaoge
Dimaag kharch karne se ... dimaag kam nahi hota
Tu bahut door nikal chuka hai ... itni door jahan meri humdardi tujh tak nahi pahunch sakti ... lekin mera farz tujh tak zaroor pahunch sakta hai
Mere pooch-taach ka dang bahut alag hota hai
Teri har saans ke peeche maut bankar khada hoon main
Teri maut tujhse utni hi door hai ... jitni door main tujhse hoon
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Woh pyar nahi ek mazak tha ... aur mazak dil behlane ke liye hota hai ... dil mein basane ke liye nahi
Dard itna meetha bhi ho sakta hai ... yeh aaj pata chala
Ek foot ki lohe ki nalli aur dedh inch ki barood ki goli ... oont ke mooh mein jeera lagta hai
Dhamki dene waalo ki main saans bandh karta hoon ... tera naseeb achcha hai, sirf mooh bandh kar raha hoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory