(Chuhoon aur Hindustaniyon mein farak kya hai?) - Sirf ek border ka
Keh rahi hai nazdeekiyan faasle hai ab bhi darmiyan ... teri mohabbat mein awara hua hai dil, dhoond raha hai teri galiyan
Zehar ke asardaar hone se kya farak padta hai ... maut aane ke liye khuda ki marzi bhi shamil honi chahiye
Tu bura hai toh main bure logon ka nawab hoon ... tu bada hoke bighda hoga ... main bachpan se kharaab hoon
Sudhar ja nahi toh guzar jayega
(Aa raha hoon main) - Immigration ke baad seedha tera cremation hoga
(Yeh tum har baat pe dialogue kyun maarte ho?) - Kyun ki har superhit action se pehle ... superhit dialogue zaroori hota hai
Mere sanskaaron mein mujhe marne ki izaazat hai ... darne ki nahi
Sheeshay ke gharon mein rehne wale, chataano ko chunautiyan nahi diya karte ... nishaana chahe kitna bhi pakka kyun na ho, gulel se baaz kabhi mara nahi karte
Ravikumar aadmi nahi aandhi hai ... teri sultanat udda ke rakh dega
(Jaanta nahi kiske samne khada hai?) - Bhagwan tum ho nahi sakte ... insaan tum lagte nahi ... aur shaitaan se main nahi darta
Anjaam ki fikr nahi karte woh joh doobe rehte hai aashiqon ki jannat mein ... janbaaz hote hai woh aashiq joh tabah ho jaate hai ishq, pyar, aur mohabbat mein
Joh Ravikumar se ulajhta hai uski photo pe haar latakta hai
Saale tujh jaise kameene hi ulti ganga bahate hai ... neeyat khud ki kharab hoti hai aur ghunghat auraton se karvate hai
Sher ke pair mein kaanta chub jaane se jungle kutton ka nahi ho jaata
Apne sabra aur yakeen ko roz badana padta hai ... cholay ko basanti aur iraadon ko faulaad banana padta hai ... yoon hi nahi hoti tirange ki hifazat ... desh bhakton ko apna khoon bahana padta hai
Zid pe aamada hamara humsafar hai ... aas paas gundey, goliyan, gutter hai ... dil unke aage surrender hai ... jeena us hi ke saath umar bhar hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory