Syahi sasti hai, khoon mehenga hai ... ek mamuli si tankha par apni syahi baha dena koi mushkil kaam nahi ... lekin ek mamuli si tankha par apna khoon baha dena sirf dilari hi nahi ... deewangi hai
Watan pe mitne waalon ki yun khatam nahi hoti kahaniyan ... hum mein toh phir bhi yaad rakhegi duniya, nahi rahengi tumhari nishaaniyan
Meri teen baatein yaad rakhna bete ... sachai se kabhi mooh modna nahi, zulm ke aage kabhi jhukna nahi, dil ki pehli awaaz sunna ... kyun ki pehli awaaz parmatma ki hoti hai ... bad mein shaitan bolta hai
Zabaan aaisi tawaif hoti hai joh mujra karna band nahi karti ... kabhi hamare samne, kabhi doosron ke samne
Tum khud ek aaisi churi ho ... jiski dhaar par katne waala kat bhi jaye par uff na kare
Tu zulm badhata ja hum sabrr badha lenge ... mitt jayenge hum lekin tujhko bhi mitaa denge
Yeh upar waala hai na hamesha chuhe billi ka khel khelta hai ... kabhi itna sukh deta hai ki sambhala nahi jaata ... kabhi itna dukh de deta hai ki dil se nikala nahi jaata
Apni izzat bachane ke liye joh log apni jaan na de sake ... aaise log agar hamari zameen par paon rakh de ... toh hamari zameen banjar ho jaye
Yeh na samajhna ki samne koi murdaar khada hai ... kehte hai jisse Chauhan yeh tumhara baap khada hai
Ek hum hai joh dushman ke khoon se mohabbat karte hai ... aur ek tum ho joh apne hi khoon ke dushman ban gaye ho
Joh pyar karte hai woh sar jhukakar nahi sar uthakar baat karte hai
Main janta hoon ki tumhare haath bahut lambe hai, bahut upar tak jaate hai ... lekin khaki ke samne khadi ki taqat dikhane ki koshish mat karo ... kyun ki main yeh khaki utarkar khadi pehan sakta hoon ... lekin tumhare neta khadi utarkar khaki nahi pehen sakte
Hamare hausalon ka sar kat toh sakta hai ... lekin tere aage jhuk nahi sakta
Sarang tedi nazar kabhi bardaash kar bhi leta hai ... magar gandi nazar kabhi bardaash nahi kar sakta
Cancer ke mareez ka ilaaj ho sakta hai magar ... mohabbat ke maare ka nahi
Duty nibhate hai hum issi liye hum hum hai, varna haramkhor kehlate ... rishvat khate mujrimon se aur rishvatkhor kehlate
Apne maqsad mein kamyaabi haasil karne ke liye ... taqat se zyada himmat ki zaroorat hoti hai
Jin takleefon se log marte hai un takleefon ne hum mein paala hai ... humne maa ki godh mein nahi, chaku ki nok par parvarish payi hai
Hamare khoon ka katra katra aapke namak ka ehsaanmand hai
Jaise ki rahi bina rasta suna, sindoor bina maang suni, aur pyar bina jeevan suna hota hai ... vaise hi seeshay ke bina khidki suni hoti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory