Mohabbat mein joh sach poocho toh khali naam milta hai ... magar woh waqt aaya hai ke inaam milta hai
Johnny Walker
Mohabbat mein kabhi kabhi woh waqt bhi aa jaata hai ... ke joh baat hone wali hoti hai ... woh waqt ke pehle dekhi jaa sakti hai, mehsoos ki jaa sakti hai
Nargis
Uff karke dum-ba-khud tera deewana ho gaya ... do harf they ke jiska yeh afsana ho gaya
Tum bhi agar inki tarah thukraogi fariyaad-e-dil ... kya rahega farak phir majboor-e-dil saiyaad-e-dil
Unknown
Main yahan aaya kyun, why why why ... acha ab chalta hoon, bye bye bye ... haaye hukku, haaye hukku, haaye haaye ... yeh Tulsi mere saamne mere dil liye jaaye jaaye
Varun Dhawan
Tere toh dhang hai yehi apna banake chhod de ... woh bhi bada hai baawla tujhko joh paake chhod de
Sanjeev Kumar
Mutthi uthayi khaak ki aur dil bana diya ... pagal ko tumne pyar ke kabil bana diya
Pyar jab kacha hota hai, toh dil ki dhadkan nagade ki tarah bajne lagti hai
Pran
Tel mein woh baat kahan joh is meethi muskaan mein hai ... tel toh sirf diye ki loh bhadkata hai ... aur yeh meethi muskaan toh dil mein jwalamukhi bhadka deti hai
Main ek aise desh mein pehda hua hoon jahan mohabbat karne walo ki umar dekhi jaati hai ... unke baalon ka rang dekha jaata hai ... unke dil ka rang koi nahi dekhta
I. S. Johar
Ek lafz-e-mohabbat ka itna hi fasana hai ... simte toh dil-e-aashiq, phailey toh zamana hai
Nasha hai angoori aankhon mein ... nasha gulaabi gaalon mein ... arri haseena, nasha kahan hai in mitti ke pyaalon mein
Dil ki chupi umangon ko mat band rakho kabhi taalon mein ... lo hothon ki pyaas bhuja lo, nasha jhalakta pyaalon mein
Aa dil se dil mila le, is dil mein ghar basa le, aaja gale laga le ... o rasiya, mann basiya, dil mila le, dil mila le
Kisi ki nazar ka joh bismil nahi hai ... woh kehne ko dil hai, magar dil nahi hai
Shashi Kapoor
Har khoobsurat ladki pehle se hi apne aap par aashiq hoti hai ... jab koi ladka sahi tareeke se tareef karta hai, toh woh ussi par aashiq ho jaati hai
Rajesh Khanna
Ghash aa gaya dil-e-yaar ko beemaar dekh kar ... aur ghash aa gaya beemar ko dildaar dekh kar
Shatrughan Sinha
Ishq cheez hi aisi hai ... joh lagaye na lage, aur bhujaye na bane
Hamare paas camere ka bahana nahi, lekin dil mein zaroor chhap leke jayenge aapki
Dev Anand
Dil jaanta hai usse kya chahiye ... ishaare bhi karta hai ... par humein sun'na nahi aata
Neena Gupta
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory